|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:11:16 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon Waah Razi bhai, buhat khoob andaaz kee sachee ghazal kahee hai aap ne. matla' tau laa.jawaab hai. daad! Naheed naheed ji sach poochain to mujhay khud is ghazal nay boht luf dia thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:10:02 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Bahut Khoob, Razi SaaHib! aap ki sadaa si ghazal bahut achchhi lagi. meri jaanib se daad qubool kijiye! Anmol shukria anmol ji razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:07:14 GMT 5
AOA razi bhai wahhhhhhhhhhhhhh keya bat he aik aik misra Aalla bohat hi Aalla sada magar dilo ko choo lene wali tumam salhitye apne andar chaupye howe yeh ghazal seedhi dil ke patal me utar gai bohat umda razi bhai sadgi ke husn ne is ghazal ko 8 chand laga diye hain qalbe chaman se dad ke sare phool ap ke husne klam ki nazr waslam mukhlis ramishjaan ramish ji itni muhabat ? bhai main kahan sambhaaloon ga itnay phool aur itna pyaar aap doston ka thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:05:15 GMT 5
Razi Sahib! Yeh sada magar jamay ghazal mujhay itni bhaayee keh maiN issay grafix maiN laanay per majboor ho gaya. Iss say aik tau meray adbi shouq ki taskeen huwi doosray meray artistaanaa SalaHiyatoN ko bhi qaraar mila.
Bahut umda aur khoob soorat ghazl ataa ki hai aap nay. Sehl-e-mumtanaa bhi shayad kaha jaa sakta hai aisi ghazal ko. Agar nahiN bhi kaha jaa sakta phir bhi yeh ghazal hazaroN mushkil ghazloN kay muqablay maiN behtar hai. Kisi bhi qari ko issay samajhnay kay liay kissi bhi lughat ka sahara nahiN laina paRay ga.
Razi Sahib meri jaanib say bay saakhta daad qabool kijiay.
aatif ab in muhabaton par main kia kahoon boht acha laga mujhy kitni khoobsoorati k saath tum ny hamari ghazal ko design kia ab masala to yeh hy k dostron ka to shukria bhi adaa nahi kia jaata razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:01:50 GMT 5
aik taaza ghazal doston ki nazr kar raha hoon kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon main apni zid main paspa ho raha tha wo yeh samjhay ke haara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Razi bhai hamaisha ki tarah khoobsoorat ghazal sada sada si pur mu,aani daad haazir hayrafi sahab pazeeraai ka shukria razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 11, 2008 23:55:49 GMT 5
bhai naveed boht umda link dia hy aap nay aap ki khoobi hy k hamaysha achi sites sy doston ko mutaaraf karatay hain is link main 21 libraries to sirf pakistan ki hain boht kaar aamad link hy boht shukria razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 11, 2008 23:49:55 GMT 5
jis sakhas kay liay Kanwal jaisi behn itnay khaloos kay saath dua mangay woh yaqeenan har qisam kay ranj o alam ka muqabela hauslay say karay ga shukria Kanwal Khuda aapko himmat o ista qaamat ataa kare ,....
Aik nazM aik shakhsiyat ko mad e nazR rakh ke kahi thi,... jaB usse parha to aapki shakhsiyat bhi uss meiN fitt nazR aayee ,...
So isse main aapko dedicate kar raho ,...wah wah kanwal rafi sahab k liay yeh nazm boht pasand aai ye nazm kisi aur k liay bhi ho to koi harj nahi magar rafi sahab ki shakhsiat ka ye mukamal ahaata karti hy rafi sahab aap ki sehat k liay boht see duaain thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 11, 2008 23:44:26 GMT 5
hamid sahab hum bhi aap ko mubarak baad paysh kartay hain dua hay aap ko aysi boht see khushian naseeb hon aap k aanay walay baras boht see khushian laain seht aur salamti ka payaam lain thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 9, 2008 23:59:57 GMT 5
dilshad sahab boht khoobsoorat andaz hay munfarid zameen hay aur is main khoob ashaar taraashay hain aap nay
kamaa'n rakh di mere dushman ne la kar mere qadmo'n par
mera josh_e_shahadat khud machal kar teer tak pahoncha
yeh shair boht munfrid hay poori ghazal aik khaas ahand tarteeb dayti hay aur is ki lafziaat bhi munfarid hain aap ka andaz boht mukhtalif nazar aa raha hay daad qabool kijiay thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 9, 2008 11:31:22 GMT 5
rafi bhaai aap ki is post nay mujhy udaas kar dia agarchay ab medical science itni taraqi kar chuki hy k by pass oeration aik mamooli baat ho gaai hay aur is k nataaij 99 percent kaamyaab hotay hain magar is k baawajood udaasi nay ghair lia aap k liay hamari tamaam tar duaain hain dua hy aap sehat yaab hon aur dobara poori tawanaai k saath hamaray darmyaan mojood hon duaa to hum kar hi rahay hain is moqay par koi aur khidmat bhi hamaray laaik ho to zaroor bataaiay ga boht see duaaon k saath aap ka razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 7, 2008 23:31:20 GMT 5
Salam,aisa kahan se laon,sab achcha kahain jisay Sukhanwaro!yeh labo lejay say zayadah khud ko paidaishi Mirza Ghalib samajhnay ka moaamla hay.baharhal...is ki ehmiat say inkar naheen.main is silsilay main aik column ya mazmoon jald hi arsal karon ga. theek hy janab logon ko khud ko mirza ghalib samajhna chaahiay magar mirza ghalib ki tarah kisi meer ko bhi tasleem karain na
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 7, 2008 23:28:56 GMT 5
AOA ehle sukhanwar aj phir aik bohat aham masale ki janib dilshad sahib ke hawale s eis bazm me behas ka aghaz howa .............. me apni is guftagu me sirf razi sahib ko muakhtib kar ke bat karo ga take KHUDA NA KAHStA agar meri koi bat kisi ko buri lagi to wo use apni zaat ke taraf na le ja sake razi shaib ka name is lyie kaha ke aik to wo bazm ke bade hain dosra mujhe yaqeen he ke wo meri bat ko samjhe ge aur unhe yeh kehyal nahi guzre ga ke me koi esi wesi bat kar raha ho,n kion ke ab bohat dar lagta he kuch bhi kehte howe ................................ me dilshad sahib ki baat aur jesa razi bhai ne bhi likha 100000% itfaaq karta ho,n ke hum sab naye likhne walo ke liye yeh nazam ke yahan adbi behas honi chahiye take tumam logo ko yaksa;n faeyda pohanch sake me itfaq karta hon dr sahib aur razi shaib ki bat se bhi ke aksar dekha geya ke tanqeed ke jawab me musbat ki jaga manfi rawaya samne aya ......................... jee isi tarf razi bhai me tawaju dilana chahta hon .......................................... razi bhai is bazm me jab jab kisi bhi tanqeed par manfi rawaya samne aya wo ibtada ki bat ho ja haliya jhagre ki us ki wajha sirf aik thi mere nazdeek ke tanqeed karne wale ne chahe kitne hi khlos se haumdardi se tanqeed ki ho magar tanqeed karne wala ke lab o lehja is qadr dursht talkh aur hatak ameez hota tha ke insan na chahte howe bhi bura man jata he is ke muqable par me samjhta ho,n ke tanqeed ke mamle me dr rafi shaib jesi mushfaqana andaz me haqeeqat me islah ke rang me tanqeed ki jaye to shayd wo sab kuch na hota jo kuch kai bar is bazm me howa me bohat maazrat chahta ho,n yeh kehte howe ke hum sab me se aksar afrad ne jab jab tanqeed ki un ka lab o lehja esa hi hota he jese wo jis par tanqeed kar rahe hain use insan hi nahi samjhte razi bhai behas aur mufeed behas se me nahi smajhta koi bhi dost ghabrata ho gabrahat aur bura tab hi manya jata he jab bura manane wali bat ho is liye me ap ki hadyat par ke yahan is cheez par behas ki jaye me yehi darkhwast karo ga ke agar to tanqeed barye islah ki jaye to mujhe yaqeen he koi bura nahi manye ga mere nazdeek in 4 salo me mujhe nahi yad ke kabhi kisi nye likhne wale ja porane likhne wale ne kabhi razi shaib ja dr rafi sahib ki kisi bat ka bura manya ho is liye dosto ko chahiye jo ustatza hain jo smajhte hain ke wo dosro ko kuch sikhla skate hain wo apne rawio,n ko narmi aur hilm kesath peesh kare to INSHALA koi bad mazgi nahi ho gi .................. dosra islah ke sath sath yeh option bhi hona chaiyhe ke sirf ghaltio,n ki nishandahi na ki jaye ja yeh na kaha jaye jee ke yeh is qabil nahi ke is par raye di ja sake ja yeh keh kar tanqeed ki jaye ke is is misre me khami he jahan tak mumkin ho us ghalti ki nishan dahi ke sath sath us ko door karne ka tareeq bhi sath likha jaye take jis ko ap us ki ghalti se agah kar rahe hain use samjh bhi aye ke ap ki ghalti ko kese sudhara geya he take aenda wo is cheez se seekh sake umeed he mujh jese tifle maktab ki bat ko smajha jaye ga aur koi bhi mimber is ko zatiyat ki taraf nahi le kar jaye ga ap ki douao,n ka mutaj ap ka mukhlis ramishjaan ramish sahib main nay aap ki mail bhi parhi aur dilshaad sahab ka jawab bhi parh lia baat sirf yahan aa kar khatm ho jaati hy k aik adabi forum par andaz e takalum bhi shaista hona chaahiay laykin janab mujhay maaloom hy k baaz logon ko shaaista rawaiya bhi usi waqt bhaat hay jab un ki tareeef ka samaan ho main koshish karta hoon k ghalati ki nishaandahi pm k zariay karoon taa keh kisi ki anaa ko thays na pohanchay magar mujhay yeh bhi tajurba hua k baaz logon ko yeh bhi naa gawar guzra asal main to aik khaami ki islaah kartay huay yeh bhi mad e nazar hota hay k baaqi dost bhi us sy agaah ho jaain magar ... khair yeh aik laa hasill behas hay hum koshish kartay hain k khul k baat ki jaay koi baat nahi jo ga daykha jaay ga thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 6, 2008 0:15:41 GMT 5
aatif sahab pehlay to aap ka shukria k aap nay aik dilshad sahab ki is eham baat ko alag thread main numaayan kar dia main dilshad sahab aur aap ki raay sy muttafiq hoon k baat honi chaahiay aur khul k honi chaahiay jab yeh forum qaaim kia gia tha to us waqt sab say barra maqsad hi yeh tha k yahan adabi mubaahis hon aur dost khul kar baat karain magar jaysa k rafi sahab nay bataya k ibtidaa main hi aysa mahol hua k baaz ehbaab nay tanqeed bardaasht karnay sy inkaar kar dia aur door kion jaain abhi chand roz pehlay bhi to yehi kuch hua so is ka tareeqa yeh hay k jo dost aik doosray k mizaaj ko samajh gaay hain woh khul k baat kar laytay hain aur baaqi jaga par hum mohtaat rehtay hain aaiay isi thread main daykh laytay hain k ehbaab kia chaahtay hain main ye thread salaay aam k liay doston ko email kar dayta hoon thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 5, 2008 23:57:34 GMT 5
aik taaza ghazal doston ki nazr kar raha hoon
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon
yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon
khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon
main apni zid main paspa ho raha tha wo yeh samjhay ke haara chaahta hoon
mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon
kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 5, 2008 11:15:15 GMT 5
baat sirf yeh hy k is baaray main jin logon ny amli kaamkarna hy adab un ki tarjeehaat main hi shamil nahi bayroon e mulk urdu kutab ki dastiaabi hi aik barra masala hy aur to aur hum india sy asaani k saath kutab o jaraaid nahin mangwa saktay hakoomti satah par is hawalay say usi soort koi iqdaam ho ga agar adeeb bhar poor awaz buland karain kutab o jaraaid ki asaani k saath tarseelho jaay to urdu k farogh main boht madad mill sakti hy thanx razi
|
|