|
Post by akhtarshumaar on Jun 1, 2008 12:57:11 GMT 5
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 1, 2008 16:37:52 GMT 5
khoobsoorat column hy maloomat main izaafa hua thanx dear razi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jun 1, 2008 21:52:41 GMT 5
Wahh Khoobsoorat Column shukria Akhtar Shumar sahib
|
|
|
Post by kanwal on Jun 4, 2008 23:32:18 GMT 5
Aik khubsoorat se column par dili Mubarakbaad ,....
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jun 4, 2008 23:44:33 GMT 5
Dr Shumaar Sahib aap ka column bahut ziyada qabil-e-taareef hai. Mairi haqeer si raay ka mutabiq issay faqat aik column hi samajh laina kaafi nahiN, aap nay dar asl aik tawajaa dilaao notice ka ijraa kia hai jiss say hamaray mufakkiroN, adeeboN, shaeroN kay saath saath arbaab-e-iqtidaar ki soch kay sub darwazay wa honay chahiyaiN. Jinn kay paas ikhtiyaar hai aur woh iss ziman maiN bahut kuch kar saktay hai, unn sub ehbaab say dast basta guzaarish hai keh woh Dr Akhtar Shumaar sahib ki iss baat per khaSooSi tawajjah daiN aur Pakistan ki tehzeeb-o-Saqafat, Zabaan-o-adab waghaira kay farogh kay liay apna muSbat kirdaar adaa karaiN.
Dr Sahib maiN aap ki baat ki 100 % taaeed karta hooN aur aik haqeer say mashwaraa aap ki khidmat maiN paish karta hooN keh aap apnay iss colum ko thoRa sa tafSeeli banaa kar aik khaT ki soorat Wazeer-e-Azam, Sadr aur Wazeer-e-Taaleem tak poNchaaiay. Takeh iss maidaan maiN koi tau paish raft ho. Allah karay keh aap ki yeh baat hamaray baRoN kay diloN ko chhoo jaay, Aameen.
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jun 5, 2008 0:18:24 GMT 5
maiN Atif Mirza sahib say ittefaaq karta hooN aur Akhtar Shumar sahib say aur deegar dostooN say say bhi guzarish karooN ga keh is silsalay main hakoomat e waqt kay kanooN tak yeh awaaz zaroor paunchaiN is silsalay maiN jab bhi aur jhaaN bhi koi kaam ho sakta ho zaroor karna chahiay isi tarah main nay bhi mukhtalif hamookati uhdedaroon ko aik khusoosi taur par ainda bajat maiN Press club ki tarz par Pakistan kay har shehr maiN Pakistan Writers Clubs kay liay khasoosi funds rakhnay ka mutaleba kia hay sabhi ahbab say guzarish hay woh bhi apnay apnay taur par is silsalay main arbab e ikhteyar ko khutoot likhaiN is silsalay maiN kuch arsa pehlay meri sabeqa wazeer e saqaafat jnab Saad rafique say bhi is sisalay maiN tafseeli baat hui thee unhooN nay meray cause say mukammal ittefaaq kartay huay mukammal tuawan ka yaqeen delaya tha magar mulaki halaat ki karwat is raah maiN hail ho gai mujhay umeed hay ainda INSHA ALLAh ham apnay is maqsad maiN zaroor kamyaab hoNgay
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 5, 2008 11:15:15 GMT 5
baat sirf yeh hy k is baaray main jin logon ny amli kaamkarna hy adab un ki tarjeehaat main hi shamil nahi bayroon e mulk urdu kutab ki dastiaabi hi aik barra masala hy aur to aur hum india sy asaani k saath kutab o jaraaid nahin mangwa saktay hakoomti satah par is hawalay say usi soort koi iqdaam ho ga agar adeeb bhar poor awaz buland karain kutab o jaraaid ki asaani k saath tarseelho jaay to urdu k farogh main boht madad mill sakti hy thanx razi
|
|
|
Post by akhtarshumaar on Jun 5, 2008 18:40:39 GMT 5
Dear razi rafi ,atif,kanwal,and others friends, urdu chairs ka beroone mulk bura haal hey,no funds, no any feselity.hatta keh ham urdu rasail jaraid tk nahin mangwa sakte.universities men koi alag office tk nai milta,hakoomti satah pr is silsale men tawajju aur protokole dilane ki zaroorat hey.doston ko mere is kalam ko hukkame bala tk pohnchana chahie.ya kam as kam mujhe sadr p.m (yousaf r gilani) education sec.minster education aur deegar hukkam ki e-mails send kar den ta keh men apne essay columns send kar skun.all readers ka bhot shukria.A.Shumaar ain shams universty cairo
|
|