|
Post by Sukhanwar on Jun 5, 2008 23:57:34 GMT 5
aik taaza ghazal doston ki nazr kar raha hoon
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon
yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon
khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon
main apni zid main paspa ho raha tha wo yeh samjhay ke haara chaahta hoon
mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon
kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jun 6, 2008 0:10:37 GMT 5
aik taaza ghazal doston ki nazr kar raha hoon kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon main apni zid main paspa ho raha tha wo yeh samjhay ke haara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Razi bhai hamaisha ki tarah khoobsoorat ghazal sada sada si pur mu,aani daad haazir hay
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jun 6, 2008 17:20:35 GMT 5
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jun 6, 2008 17:26:58 GMT 5
Razi Sahib! Yeh sada magar jamay ghazal mujhay itni bhaayee keh maiN issay grafix maiN laanay per majboor ho gaya. Iss say aik tau meray adbi shouq ki taskeen huwi doosray meray artistaanaa SalaHiyatoN ko bhi qaraar mila.
Bahut umda aur khoob soorat ghazl ataa ki hai aap nay. Sehl-e-mumtanaa bhi shayad kaha jaa sakta hai aisi ghazal ko. Agar nahiN bhi kaha jaa sakta phir bhi yeh ghazal hazaroN mushkil ghazloN kay muqablay maiN behtar hai. Kisi bhi qari ko issay samajhnay kay liay kissi bhi lughat ka sahara nahiN laina paRay ga.
Razi Sahib meri jaanib say bay saakhta daad qabool kijiay.
|
|
|
Post by ramishjaan on Jun 7, 2008 0:27:24 GMT 5
AOA razi bhai wahhhhhhhhhhhhhh keya bat he aik aik misra Aalla bohat hi Aalla sada magar dilo ko choo lene wali tumam salhitye apne andar chaupye howe yeh ghazal seedhi dil ke patal me utar gai bohat umda razi bhai sadgi ke husn ne is ghazal ko 8 chand laga diye hain qalbe chaman se dad ke sare phool ap ke husne klam ki nazr waslam mukhlis ramishjaan
|
|
anmol
ibtidaai rukn
Posts: 30
|
Post by anmol on Jun 7, 2008 18:56:44 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Bahut Khoob, Razi SaaHib! aap ki sadaa si ghazal bahut achchhi lagi. meri jaanib se daad qubool kijiye! Anmol
|
|
|
Post by naheedv on Jun 10, 2008 3:59:55 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon
Waah Razi bhai, buhat khoob andaaz kee sachee ghazal kahee hai aap ne. matla' tau laa.jawaab hai. daad!
Naheed
|
|
|
Post by saeed on Jun 10, 2008 4:58:46 GMT 5
Razi bhai
Buhut piyarey lehjey ki ghazal hai. ye ashaar buhut pasand aaye...
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon
yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon
kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta ho
aur ye sher to hasil-e-ghazal hai...
mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon
waaaaahhhhhh...buhut khoob!!! khush rahen.
Saeed
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:01:50 GMT 5
aik taaza ghazal doston ki nazr kar raha hoon kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon main apni zid main paspa ho raha tha wo yeh samjhay ke haara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Razi bhai hamaisha ki tarah khoobsoorat ghazal sada sada si pur mu,aani daad haazir hayrafi sahab pazeeraai ka shukria razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:05:15 GMT 5
Razi Sahib! Yeh sada magar jamay ghazal mujhay itni bhaayee keh maiN issay grafix maiN laanay per majboor ho gaya. Iss say aik tau meray adbi shouq ki taskeen huwi doosray meray artistaanaa SalaHiyatoN ko bhi qaraar mila.
Bahut umda aur khoob soorat ghazl ataa ki hai aap nay. Sehl-e-mumtanaa bhi shayad kaha jaa sakta hai aisi ghazal ko. Agar nahiN bhi kaha jaa sakta phir bhi yeh ghazal hazaroN mushkil ghazloN kay muqablay maiN behtar hai. Kisi bhi qari ko issay samajhnay kay liay kissi bhi lughat ka sahara nahiN laina paRay ga.
Razi Sahib meri jaanib say bay saakhta daad qabool kijiay.
aatif ab in muhabaton par main kia kahoon boht acha laga mujhy kitni khoobsoorati k saath tum ny hamari ghazal ko design kia ab masala to yeh hy k dostron ka to shukria bhi adaa nahi kia jaata razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:07:14 GMT 5
AOA razi bhai wahhhhhhhhhhhhhh keya bat he aik aik misra Aalla bohat hi Aalla sada magar dilo ko choo lene wali tumam salhitye apne andar chaupye howe yeh ghazal seedhi dil ke patal me utar gai bohat umda razi bhai sadgi ke husn ne is ghazal ko 8 chand laga diye hain qalbe chaman se dad ke sare phool ap ke husne klam ki nazr waslam mukhlis ramishjaan ramish ji itni muhabat ? bhai main kahan sambhaaloon ga itnay phool aur itna pyaar aap doston ka thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:10:02 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon khushi mujh ko wo aadhi day chuka hy magar main dukh to saara chaahta hoon mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta hoon Bahut Khoob, Razi SaaHib! aap ki sadaa si ghazal bahut achchhi lagi. meri jaanib se daad qubool kijiye! Anmol shukria anmol ji razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:11:16 GMT 5
kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon Waah Razi bhai, buhat khoob andaaz kee sachee ghazal kahee hai aap ne. matla' tau laa.jawaab hai. daad! Naheed naheed ji sach poochain to mujhay khud is ghazal nay boht luf dia thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:12:17 GMT 5
Razi bhai Buhut piyarey lehjey ki ghazal hai. ye ashaar buhut pasand aaye... kisi ka phir sahara chaahta hoon aziat hi dobara chaahta hoon yeh mayra karobar e zindagani munafay main khasara chaahta hoon kinaray say palat kar aa gia hoon main ab kis say kinara chaahta ho aur ye sher to hasil-e-ghazal hai... mujhy marna to hay apni khushi say magar us ka ishara chaahta hoon waaaaahhhhhh...buhut khoob!!! khush rahen. Saeed shukria saeed bhai razi
|
|