|
Post by Sukhanwar on Jul 22, 2007 11:07:07 GMT 5
aaj sunita ji ki salgira hy sunita ji hamari janib sy dili mubarak baad qabool kijiay dua hy aap sada khush rahain aur sada salamat rahain thanx razi
|
|
|
Post by neelofar on Jul 22, 2007 11:21:25 GMT 5
Sunita ji..... many happy returne of the day........aaj ke din ke liye.....aor ye mash'hoor e zamana shair aap ke nam......SALGIRAH MOBARAK Tum slamat raho hazar bras:::har bras ke hoN din pachaass hazaar(amin)
|
|
|
Post by Jalees Sherwani on Jul 22, 2007 11:36:37 GMT 5
Hi Sunita, First of all Many Many Returns of the day. This day is very special.God has gifted the world a wonderful angel like our own Nikhat. Jalees Bhaijaan
|
|
|
Post by Tanweer on Jul 22, 2007 13:18:00 GMT 5
Sunita Sahiba !
Hamari Janib say bhi apni Salgiraah ki khushiyon mein duaon aur naik tamana^on ko shamil kar lejiey.
Khariyat ka talib Tanweer
|
|
|
Post by haamidbaaqari on Jul 22, 2007 16:13:29 GMT 5
aadaab arz kartay haiN hum apni behan sunita ko
bahut bahut mubarak ho aapko apni yeh saalgirah
sada khush raheN aap yeh hamaari dilee tamanna hai
aapka bhai
haamidbaaqari
|
|
maya
rukn
Posts: 143
|
Post by maya on Jul 22, 2007 16:59:26 GMT 5
Sunita didi
meri tarf say apko salgira ki bohat mubarikbad apkay leya dhairoun duaien
fatimah
|
|
tarana
ibtidaai rukn
Posts: 62
|
Post by tarana on Jul 22, 2007 18:44:50 GMT 5
Sunita Jee, Janam din ki bohot bohot mubarak, Wish U have a lovely day to celebrate. Aap ko dher saree khushyan naseeb ho aur lambi umer sehat k saath. enjoy the day sunita DD
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jul 23, 2007 0:36:24 GMT 5
Sunita sahiba hamari janib say bhi salghera mubarak
|
|
|
Post by ramishjaan on Jul 23, 2007 3:45:07 GMT 5
|
|
|
Post by kanwal on Jul 23, 2007 4:18:56 GMT 5
Didi ki aaj Saalgira aur main bhool gayee ,..... Asl meiN kal se naano ki tarf thi, 11 baje sukhanwar pe aayee to pata chala ke late ho gayee,.... so apni didi ko wish karna tha iss liye abhi tak soi bhi nahiN,... Aur didi aapse phone pe to baat ho gayee thi ab aapka tohfa aapki nazR ,.... Aur yeh cack meri tarf se ziyada mat khaana abhi poori taraH theek nahiH hui ho ,.... Didi to cack kha rahi hai to sochti hooN aap sabko bhi bataa dooN ke friday ko mujhe didi ka chota sa mesg mila k unheiN namooniya ho gaya tha aur hospital kaafi din reh ke aayee haiN dil kiya wahiN unheiN pakar ke daantooN aur kaan pakraa dooN iss laaparwahi par ussi din mujhe jaana par gaya so socha ke waapsi pe khabr looN gi janaaba ki ,... So aaj phone kiya tha maine ilaaj to jaari hai didi ka par sab se Dua ki darkhaast hai, ..... didi aapne karaa waqt dekha hai, mami papa ki bohat khidmat ki hai KHUDA aapke liye khud har mushkil asaan kare ga ke aapke saath aapke mami papa ki duaeiN haiN, Aur saath hum sabki duaieN bhi ,....
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 2:52:16 GMT 5
aaj sunita ji ki salgira hy sunita ji hamari janib sy dili mubarak baad qabool kijiay dua hy aap sada khush rahain aur sada salamat rahain thanx razi Razi bhai aap ki duaaoN ka bahut bahut shukriya.ek arse se bazm main aa nahin paayi, kabhi kabhaar aayi to bas thoda sa pad kar chali gayi.Himmat hi nahin thi kuch likhane ki.pehle abbu ki beemaari phir abhi vo ghar bhi na aaye the to main khud hospital chali gayi.aaj tabeeyat kuch sambhali hai to aap sab ka shukariya adaa karne chali aayi huN.aap sab ke pyaar aur khuloos ne mujh naacheez ko itni izzat maan diya hai ki shukariya jaisa lafz feeka pad jaata hai.Allah aap sab ko duniya bhar ki khushiiyaan de.aap hamesha khush raho.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 2:53:11 GMT 5
Sunita ji..... many happy returne of the day........aaj ke din ke liye.....aor ye mash'hoor e zamana shair aap ke nam......SALGIRAH MOBARAK Tum slamat raho hazar bras:::har bras ke hoN din pachaass hazaar(amin) Neelofer ji mamnoon hun aap ki duaaon ki aur pyaar ki.bahut bahut shukariya.khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 2:55:57 GMT 5
Hi Sunita, First of all Many Many Returns of the day. This day is very special.God has gifted the world a wonderful angel like our own Nikhat. Jalees Bhaijaan bhaijaan, itna pyaar do ge to marna bhi mushkil ho jaayega bahut din hospital main rehane ke baad aayi aur aap ka pyaara sa message padne ko mila aur phir se himmat aa gayi ki ek baar phir jiiya jaaye. bas aise hi duaaon main yaad rakhiiyega.sada khush raheN bhai jaan aur khoob naam kamaayeN.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 2:56:51 GMT 5
Sunita Sahiba ! Hamari Janib say bhi apni Salgiraah ki khushiyon mein duaon aur naik tamana^on ko shamil kar lejiey. Khariyat ka talib Tanweertanweer bhai jaan bahut bahut shukariya.khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 2:59:06 GMT 5
aadaab arz kartay haiN hum apni behan sunita ko
bahut bahut mubarak ho aapko apni yeh saalgirah
sada khush raheN aap yeh hamaari dilee tamanna hai
aapka bhai
haamidbaaqari mere pyaare se haamid bhai jaan, aap ki duaaoN ka hamesha intezaar rehta hai, aur aap ki duaa mere liye bahut eham hai.tah-e-dil se shukarguzaar hun ki aap ne mujhe yaad rakha.Khuda aap ko duniya ki tamaam khushiiyaan de.duaaon ke saath. aap ki behan sunita
|
|