|
Post by sunita on Jul 24, 2007 3:00:55 GMT 5
Sunita didi meri tarf say apko salgira ki bohat mubarikbad apkay leya dhairoun duaien fatimah hamaari pyaari si fatimah ji aap ki duaaon ke liye shukarguzaar hun, hamesha khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 3:02:21 GMT 5
Sunita Jee, Janam din ki bohot bohot mubarak, Wish U have a lovely day to celebrate. Aap ko dher saree khushyan naseeb ho aur lambi umer sehat k saath. enjoy the day sunita DD Tarana ji bahut bahut shukariya aap ki wishes ne dil khush kar diya.khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 3:03:09 GMT 5
Sunita sahiba hamari janib say bhi salghera mubarak Rafi sahab bahut bahut shukariya.khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 3:07:54 GMT 5
Ramish bhai ab aap ne itna maska laga diya hai ki main aage se aap ko kabhi daant bhi nahin laga paaungi itne pyaare card aur itni dheron duaayen dekh kar kaun behan bhai ki galtiiyaan muaaf na karegi.lekin aap chaahe jo bhi kar len maine jab daant lagaani hai to lagaa hi dungi. varna pata kaise lagega ki kitna pyaar hai.bahut bahut shukariya aap ki duaaon ka.sada khush rahen aur meri duaa hai ki Allah aap ki har pareshaani door kare aur aap ko dheron khushiiyaan de.
|
|
|
Post by sunita on Jul 24, 2007 3:13:39 GMT 5
Didi ki aaj Saalgira aur main bhool gayee ,..... Asl meiN kal se naano ki tarf thi, 11 baje sukhanwar pe aayee to pata chala ke late ho gayee,.... so apni didi ko wish karna tha iss liye abhi tak soi bhi nahiN,... Aur didi aapse phone pe to baat ho gayee thi ab aapka tohfa aapki nazR ,.... Aur yeh cack meri tarf se ziyada mat khaana abhi poori taraH theek nahiH hui ho ,.... Didi to cack kha rahi hai to sochti hooN aap sabko bhi bataa dooN ke friday ko mujhe didi ka chota sa mesg mila k unheiN namooniya ho gaya tha aur hospital kaafi din reh ke aayee haiN dil kiya wahiN unheiN pakar ke daantooN aur kaan pakraa dooN iss laaparwahi par ussi din mujhe jaana par gaya so socha ke waapsi pe khabr looN gi janaaba ki ,... So aaj phone kiya tha maine ilaaj to jaari hai didi ka par sab se Dua ki darkhaast hai, ..... didi aapne karaa waqt dekha hai, mami papa ki bohat khidmat ki hai KHUDA aapke liye khud har mushkil asaan kare ga ke aapke saath aapke mami papa ki duaeiN haiN, Aur saath hum sabki duaieN bhi ,.... meri pyari si maano, tum bhuuli kahan thi bas zaraa sa busy thi, iss liye koii baat nahin.vaise bhi tumhaare jaisi dost aur chooti si behan ki duaayen to saal main ek din nahin poora saal hi milti rehti hain.Tum hi to ek aisi dost ho jis par mujhe naaz hai aur fakhr hai ki tum meri dost ho.Tumhaara pyaar koii saawan ki ghata nahin ki aayi aur chali gayi.tum ne hamesha ek sachi dost ban kar saath diya hai, jo bahut naseeb se milta hai.Khuda tumhe duniya bhar ki khushiiyaan de aur tumhaari har mushkil ko door kare,aameen.khush raho kanwal aur cake hai to bahut sawaad lekin mere se zayaada khaaya nahin gaya tum isse bachaa kar zaraa hamaare motu bhai ko de dena samjha gayi na ;D
|
|
|
Post by HASIB RANA on Jul 31, 2007 18:40:22 GMT 5
aaj sunita ji ki salgira hy sunita ji hamari janib sy dili mubarak baad qabool kijiay dua hy aap sada khush rahain aur sada salamat rahain thanx razi I AM REAILY SORRY SUNITA AM TOO LATE HAPPY BIRTH DAY TO U MANY MANY HAPPY RETURNS OF DA DAY ...........
ALLAH PAK TUM KO APNI HEFAZAT MAIN REKHEY .............. Aor TUM KO ZINDAGE KI KHUSHEYAN DEKHNA NASEEB FERMAEY ....... AaMEEN [/COLOR][/SIZE]
|
|
|
Post by khalid on Aug 1, 2007 16:30:54 GMT 5
saalgrah mubaarak ho sunita ji! taakheer k liye maazrat!
|
|
|
Post by sunita on Aug 1, 2007 21:11:37 GMT 5
aaj sunita ji ki salgira hy sunita ji hamari janib sy dili mubarak baad qabool kijiay dua hy aap sada khush rahain aur sada salamat rahain thanx razi I AM REAILY SORRY SUNITA AM TOO LATE HAPPY BIRTH DAY TO U MANY MANY HAPPY RETURNS OF DA DAY ...........
ALLAH PAK TUM KO APNI HEFAZAT MAIN REKHEY .............. Aor TUM KO ZINDAGE KI KHUSHEYAN DEKHNA NASEEB FERMAEY ....... AaMEEN [/COLOR][/SIZE][/quote] Hasib sahab der se wish kiya to kya huaa duaayen hamesha kaam aati hain chaahe der se dii gayi hoN :) aap ki wishes ki bahut bahut shukarguzaar huN.Khush rahen.
|
|
|
Post by sunita on Aug 1, 2007 21:13:09 GMT 5
saalgrah mubaarak ho sunita ji! taakheer k liye maazrat! khalid bhai jaan aap ki duaaoN ka sadka aaj aap sab ke saath huN aur mukammal sehatmand ho kar USA main huN apni family ke saath. Bahut bahut shukariya jo aap ne itna pyaar diya.Khush rahen.
|
|
|
Post by HASIB RANA on Aug 3, 2007 20:47:12 GMT 5
I AM REAILY SORRY SUNITA AM TOO LATE HAPPY BIRTH DAY TO U MANY MANY HAPPY RETURNS OF DA DAY ...........
ALLAH PAK TUM KO APNI HEFAZAT MAIN REKHEY .............. Aor TUM KO ZINDAGE KI KHUSHEYAN DEKHNA NASEEB FERMAEY ....... AaMEEN [/COLOR][/SIZE][/quote] Hasib sahab der se wish kiya to kya huaa duaayen hamesha kaam aati hain chaahe der se dii gayi hoN :) aap ki wishes ki bahut bahut shukarguzaar huN.Khush rahen.[/quote] U WEL COME SUNITA JEE ............ APP K FATHER AB KESEY HAYIN ................. HOPE WILL BE FINE . BY THE GRACE OF ALAH ........... ALLAH PAK UN KO ACHE SEHAT Aor LAMBI UMAR ATTA FERMAAIN AaMEEN WISH U ALL THE BEST SUNITA JEE
[/COLOR][/SIZE]
|
|
|
Post by sunita on Aug 8, 2007 6:33:53 GMT 5
Once again Rana sahab bahut bahut shukariya.Allah aap ko duniya bhar ki khushiiyaan de aameen.
|
|
|
Post by HASIB RANA on Aug 15, 2007 17:22:35 GMT 5
SUMA AaMEEN ................ SHUKER GUZAR HOON AaP KA IN PUR KHALOS DOAON K LEY ........ HOW R U ............. KIA HO RAHA HAY AJJ KAL ........... BE HAPPY n TAKE CARE ur SELF MAY ALLAH BLESS U [/SIZE]
|
|