|
Post by dnangrani on Dec 15, 2007 2:06:54 GMT 5
Gazal
Tha jaana pahchaana sa vo sheesha lage hai kyon ajnabi sa chahra.
khushi ki kirnein to choo na paayi udaasiyon ka ghana andhera.
ye soch ki daaliyon ke panchi ude jo be-par hua achambha.
na shama jalti, na ye patange na hota jalna na ye jalana.
ameer gurbat ko jab kharide to kasre eemaan hai dagmagaata.
gunah kare par saza na paaye zameer ki galiyon ka lutera.319
Devi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Dec 15, 2007 8:45:53 GMT 5
wah
|
|
|
Post by Sukhanwar on Dec 15, 2007 18:01:15 GMT 5
devi ji aap ki ghazal bohat achi lagi waah waah
thanx razi
|
|
|
Post by dnangrani on Dec 15, 2007 21:33:58 GMT 5
rafi saheb bahut shukraguzaar hoon chand shabdon ko pasand karne ke liye. Devi
|
|
|
Post by khalid on Dec 16, 2007 10:34:42 GMT 5
devi ji khayalaat to khoob haiN! lekin lagta hai ke ash'aar jaldi meiN kahey gaey haiN ye devinaNgraani ka kalaam nahiN lagta!
|
|
|
Post by dnangrani on Dec 16, 2007 23:20:44 GMT 5
kahlid saheb aapki baat par gaur kar rahi hoon aur karti tahoongi jab tak gahraiyon ki vo baat samajh mein aa jaye.
bahut dhanyawaad ke saath
Devi
|
|
zaamin
ibtidaai rukn
Posts: 69
|
Post by zaamin on Dec 17, 2007 23:58:19 GMT 5
bahut khoobsoorat kalaam,devi ji daad qabool farmaayin
zaamin
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 14, 2008 18:24:05 GMT 5
Khalid sahib ki baat maiN wazan hai magar aap ka jawab munasib nahiN.
|
|