dino baad phir sey thikane laga hun
key phir kaam par ab mein jaane laga hun
gayeejo badal ab ye kismat achanak
mein gin-gin ye paisey jamaane laga hun
yahan jab sey mein ab kamaane laga hun
bahut yaad sabko mein aane laga hun
padha mein ne jab sey hai sunnat nabi ki
mein rahon sey patthar hataane laga hun
gareeb ki madad aaj kar key mein aaya
sukoon sey badhe ab mein soney lagaa hun
zubair likh raha hun mein barson sey lekin
kalaam haal hi sey sunaaney laga hun