|
Post by brijinder on Jul 31, 2009 12:20:10 GMT 5
Kya hai Zindagi?
Mai ka jadu bhara mast payaala hai Ya ki tanhai kay seenay maiN laga khaNjar Mehboob kay hoNtoN ki sheerni hai Ya ki zar-o-zameeN kay khawaaboN ka naam Har nafs maiN zinda hairat ki taazgi hai Ya ki sub ka sham say ik thaka sa rishta? Zindagi kisko kehtay haiN, dost??
------------------
|
|