|
Post by Sukhanwar on Nov 2, 2008 10:27:21 GMT 5
roothnay aur manaanay main guzar jaati hy yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy
baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy
kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy
jis taraf koi bicharrta hay yehi umr e taveel us taraf laut k jaanay main guzar jaati hy
din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum raat tabeer bananay main guzar jaati hy
zindagi bus wohi sa_at to hua karti hay woh jo kuch pyaas bujhanay main guzar jaati hy
saans laynay ko zaroori hy naya chehra bhi warna yeh umr puranay main guzar jaati hy
ab kabhi ho bhi agar us sy mulaqat razi apnay ashkon ko chupaanay main guzar jaati hy
razi ud din razi
|
|
|
Post by Ghazalsara on Nov 2, 2008 14:37:01 GMT 5
Salam,Razi Ji!kia khoobsoorat kaha hay.Khasosan baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy Lutf aa gaya.allah aap ki umr daraz farmaay(Aameen)
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Nov 2, 2008 20:48:00 GMT 5
wahhhhhhhh bohat khoob RAzi bhai
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 2, 2008 23:16:45 GMT 5
Salam,Razi Ji!kia khoobsoorat kaha hay.Khasosan baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy Lutf aa gaya.allah aap ki umr daraz farmaay(Aameen) naveed sahab shukria is pazeeraai ka razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 2, 2008 23:22:53 GMT 5
wahhhhhhhh bohat khoob RAzi bhai shukria rafi bhaai
|
|
jooni
sukhanshanas
Posts: 480
|
Post by jooni on Nov 2, 2008 23:44:56 GMT 5
Razi Bhai, Mmmmaza aa gaya. Boht khoob. Dhair saari daad hazir hai.
"baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy"
"din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum raat tabeer bananay main guzar jaati hy"
Wahhh. Kiya kehnay.
|
|
zaki
sukhanshanas
Posts: 446
|
Post by zaki on Nov 3, 2008 19:54:00 GMT 5
Wah Razi Ji.......... bahut he umdah.... Bahut sari daad qabool farmaeay..... Sada khush raheay....
|
|
|
Post by akhtarshumaar on Nov 5, 2008 17:54:31 GMT 5
Dear Razi : Boht khoob. Dhair saari daad qabool karen .
"baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy" Kea achcha sher kaha hey . Subhan allah
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 5, 2008 17:56:01 GMT 5
Razi Bhai, Mmmmaza aa gaya. Boht khoob. Dhair saari daad hazir hai. "baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy" "din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum raat tabeer bananay main guzar jaati hy" Wahhh. Kiya kehnay. boht shukria aap ka razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 5, 2008 17:57:02 GMT 5
Wah Razi Ji.......... bahut he umdah.... Bahut sari daad qabool farmaeay..... Sada khush raheay.... shukria zaki sahab boht nawazish aap ki razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 5, 2008 17:57:39 GMT 5
Dear Razi : Boht khoob. Dhair saari daad qabool karen . "baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy" Kea achcha sher kaha hey . Subhan allah shukria akhtar bhaai
|
|
|
Post by azeezbelgaumi on Nov 5, 2008 20:57:33 GMT 5
subhanallah.. bahut khub
|
|
|
Post by tashiezaheer on Nov 6, 2008 1:48:06 GMT 5
roothnay aur manaanay main guzar jaati hy yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy
baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy
kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy
jis taraf koi bicharrta hay yehi umr e taveel us taraf laut k jaanay main guzar jaati hy
din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum raat tabeer bananay main guzar jaati hy
zindagi bus wohi sa_at to hua karti hay woh jo kuch pyaas bujhanay main guzar jaati hy
saans laynay ko zaroori hy naya chehra bhi warna yeh umr puranay main guzar jaati hy
ab kabhi ho bhi agar us sy mulaqat razi apnay ashkon ko chupaanay main guzar jaati hyrazi ud din razi Razi Bhai, Ummeed hey aap ke samet tamam "Sukhawaraan" khair o aafiat sey hoN gey. DheroN daad aur mubarakbaad. Khoobsoorat ghazal hey aapki. Khususan ye sher bohat pasabd aaya: kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy
|
|
maya
rukn
Posts: 143
|
Post by maya on Nov 7, 2008 11:38:21 GMT 5
Razi sahab
haqeqat kay itna qareeb baat ho tu diloun main kiun na utray.yaqeen maneya yea dil main utar rahy hay.yea chota sa ezhar hay yea qabol kejeay.... 'dad qabool kejeay' esleya nai kah pati kay apni kam fahmioun ka ehsas hay.aur jo janta na ho wo tareef ka haq ada kaisay kar sakta hay.yahi khaial daman geer hay.
waslam
fatimah
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 9, 2008 0:08:29 GMT 5
|
|