|
Post by kanwal on May 15, 2007 20:23:00 GMT 5
Na muntazir hai aankh hi, na dil hi beqaraar hai Ke ab humeiN na aas hai, na koi intzaar hai
Mitaa hi daali zaat hum nay aap ke hi waaste keh rooH ko kya tumi ne meri aaj taar taar hai
Thay jis qadar bhi ashk wo baha diye tere liye lo mutmaain raho k dil humhara ghum gusaar hay
in ulfatoN ki raah meiN Sabhi ko milte khaar haiN khabar nahin kisi ko kion kathin yeh rehguzaar hai
Najaane kyuN tadap uthy haiN aaj bhi tire liye k dard jo dia tha tu ne ab to dil k paar hai
Sukhan meiN mere gham ko wo samo gaya kuch is tarah bas ab har aik shair main yeh dard aashkaar hai
Yeh teri yaad hai makeen e dil mire o hum nasheeN Ke jaise aik teer sa hai jo dil ke aar paar hai
Tatolne se raakh ko mile to ab mile ga kya ke kuch wafa ki gard hai ya dil ka kuch ghubaar hai
Main mar mitti to sirf main marooN gi us ke waaste khabar nahin kyuN use yuN hum pe aitbaar hai
KaNwal hai us ka saath kya, kaNwal hai uski baat kya Na jiska koi ehad hai na Qaul ya qaraar hai
|
|
|
Post by hooriya on May 15, 2007 20:39:03 GMT 5
buhat khoob...
behtreen ghazal padhne ko mili aapki janib se...
daad qubool kijiye...
|
|
|
Post by shahkaar on May 15, 2007 23:45:50 GMT 5
kanwal saheba acchi kawaish he, ghazal pasand aye, shukria keh aap ne ham se share kee
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 16, 2007 0:41:33 GMT 5
ÙˆØ§Û Ú©Ù†ÙˆÙ„ جی بÛت خوب
|
|
|
Post by kanwal on May 16, 2007 1:47:40 GMT 5
buhat khoob... behtreen ghazal padhne ko mili aapki janib se... daad qubool kijiye... thank yoU hooriya jee ,...
|
|
|
Post by ramishjaan on May 19, 2007 15:42:10 GMT 5
AOA kanwal jee khobsorat ghazal ke liye dad qabol ki jiye waslam ramishjaan
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on May 21, 2007 23:17:39 GMT 5
Na muntazir hai aankh hi, na dil hi beqaraar hai Ke ab humeiN na aas hai, na koi intzaar hai
Mitaa hi daali zaat hum nay aap ke hi waaste keh rooH ko kya tumi ne meri aaj taar taar hai
Thay jis qadar bhi ashk wo baha diye tere liye lo mutmaain raho k dil humhara ghum gusaar hay
in ulfatoN ki raah meiN Sabhi ko milte khaar haiN khabar nahin kisi ko kion kathin yeh rehguzaar hai
Najaane kyuN tadap uthy haiN aaj bhi tire liye k dard jo dia tha tu ne ab to dil k paar hai
Sukhan meiN mere gham ko wo samo gaya kuch is tarah bas ab har aik shair main yeh dard aashkaar hai
Yeh teri yaad hai makeen e dil mire o hum nasheeN Ke jaise aik teer sa hai jo dil ke aar paar hai
Tatolne se raakh ko mile to ab mile ga kya ke kuch wafa ki gard hai ya dil ka kuch ghubaar hai
Main mar mitti to sirf main marooN gi us ke waaste khabar nahin kyuN use yuN hum pe aitbaar hai
KaNwal hai us ka saath kya, kaNwal hai uski baat kya Na jiska koi ehad hai na Qaul ya qaraar hai Kanwal ji , khubsurat ghazal ho aur us par presentation bhi khubsurat ho tou parhnay main double maza aa jata hai...mery taraf say dhairoon daad haazir hai itny acchi ghazal likhnay par:)
|
|
|
Post by kanwal on May 30, 2007 2:02:34 GMT 5
kanwal saheba acchi kawaish he, ghazal pasand aye, shukria keh aap ne ham se share kee Bohat bohat Shukriya ,... aap aaye, ghazl pasand ki, saraha, reply kiya, bohat khushi hui.
|
|
|
Post by kanwal on May 30, 2007 2:03:39 GMT 5
ÙˆØ§Û Ú©Ù†ÙˆÙ„ جی بÛت خوب Ab Urdu ko to main roman kar deti hooN rafi jee ,... Isska kya karooN? ,.......
|
|
|
Post by kanwal on May 30, 2007 2:04:53 GMT 5
waah kanwal badi pyaari ghazal di padne ko, mubaarak ho. Thank You didi ,......
|
|
|
Post by kanwal on May 30, 2007 2:06:05 GMT 5
AOA kanwal jee khobsorat ghazal ke liye dad qabol ki jiye waslam ramishjaan thank You jee ,....
|
|
|
Post by kanwal on May 30, 2007 2:10:06 GMT 5
Kanwal ji , khubsurat ghazal ho aur us par presentation bhi khubsurat ho tou parhnay main double maza aa jata hai...mery taraf say dhairoon daad haazir hai itny acchi ghazal likhnay par:) Aur uss ghazl pe Khubsoorat qaari ho,... khubsoorat nazR ho,... khubsoorat soch ho,.... Aur khubsooraat araa ho to thanx kehne ka maza bhi double ho jaata hai ,.....
thank YOu dear ,...
|
|