Kal 14th August ,...
Aik aisa din jiska aik aik lamhe ne huM pe ehsaan kiya aur karta aaya hai, par afsos ke aaj bhi huM iss din ki gharz o ghaiyat ko
sahi andaaz se na jaan paaye haiN aur na isska haQ adaa kar
paaye haiN ,....
Aaj e mail se do bohat hi khubsoorat se cards mile socha yahaN
aapki khidmat meiN paish kar dooN ,....
Aur
Meri tarf se tamaam Ehl e Sukhanwar ko jashn e azaadi ki bohat bohat Mubarakbaad Khuda TallaH huM sabko apne watan ki khidmat karne ka taufeeQ ataa kare ,.... Ameen
Apne watan ke liyeZindagi apni watan ki zindagi ka hai
Naam iska zindagi meiN roshni ka Naam hai
Apne ehl e fikr se iski khabar humko mili
Ik nayee umeed ki umeed ki subah e safar humko mili
Yeh ZameeN islam se wabastagi ka naam hai
Zindagi apni watan ki zindagi ka naam hai
Qaid azam ne iski raah dikhlaayee humeiN
is maqaam e shauq par iski sad laayee humeiN
Mulk e pakistan shehr e aagahi ka nam hai
zindagi apni watan ki zindagi ka naam hai
iss hudaa khawaH ki rafaaqat ki rafaaqat meiN aml ke qaafle
Chal rahe haiN kal zameeN k khaab raahat k liye
Apna maqsad saari duniya ki khushi ka naam hai
Zindagi apni watan ki zindagi ka naam hai
( muneer niyaazi )
Pakistan Khuda ka haiPakitan ko samjho logoN
Pakistan Khuda ka hai
Naam e SW ki taseer
Cut gayee ik ik zanjeer
Iska taswar iska khameer
Imaan aur wafaa ka hai
Pakistan ko samjho logoN
Pakistan Khuda ka hai
Iss par aankh jo uthi hai
khud barsoN tak rui hai
YahaN ka har fard sapaahi hai
Aur jaanbaz balaa ka hai
Pakistan ko samjho logoN
Pakistan Khuda ka hai