|
Post by Tanweer on Jan 31, 2008 11:26:47 GMT 5
bohat khoob Atif sahib kis ko ghayal karnay ka iraada hay hazoor ?
Tanweer
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jan 31, 2008 20:41:16 GMT 5
Atif sahab aaj pata chal gaya ki aap kitne zaalim haiN vaise ham sab ko itna daraane ki zaroorat nahin ki agar aap ke ghar aaye to aise sofoN par baithana padega, bas itna vaada zaroora kar deN ki aap bhi hamaare saath inhi sofoN par tashreef rakhenge. ;D ek baat aur aap ke aas pados main koii rehta hai ya nahin?, agar rehte hain to unhe itna keh deejiiyega ki jab mehmaan aayeN to vo ambulance ko fone karna na bhuleN. bhai jab zakhami honge to hospital to jaana hi padega na. mere bete ko aap ki yeh post bahut pasand aayi.shukariya. Aray wah maiN kiyuN aap kay saath baithooN ga. MaiN tau khak'saar hooN zameen par baithna pasand karta hooN! Waisay bhi maiN mehmaan ko mahaan samajhtay huway uss ki brabri nahiN karta.
Ji!
Aap kay baitay ka khas taur par shukriya aur sawagat hai!
Khush Rahiay!
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jan 31, 2008 20:45:30 GMT 5
bohat khoob Atif sahib kis ko ghayal karnay ka iraada hay hazoor ? Tanweer Aji hum nay kia kissi ko ghayal karna! Yeh sofay asal maiN meray aik dost nay UN Forces HQ Africa say bhaijay thay. MaiN itna aish pasand nahiN hooN, lihaza maiN nay aap logoN ki khidmat maiN paish kar diyay hai. Anmol haiN jo bhi pasand kar lay........
|
|
|
Post by kanwal on Feb 3, 2008 0:56:19 GMT 5
Atif jee Inn pe aapne jo naaM likheiN haiN isss se pata chalta hai ke janaaB ko inn sab ki kitni qadr hai aap ke dil meiN ,... JanaaB aap humeiN inn par baith ke dikhaayeiN to huM aapko muN maanga tohfaa deiN ge ,...
|
|
|
Post by kanwal on Feb 3, 2008 19:25:35 GMT 5
kanwal Atif ji ko pata nahin hai shaayad ki ham sab bahut dil vaale hain, koii dost keh kar angaaroN par bithaaye ja gardan kaate sab manzoor hai bas peethe peechhe.......... Didi issi liye hi to huMeiN aise hi inamaat se nawaaza jaata hai ,...
|
|
|
Post by Sukhanwar on Feb 7, 2008 1:15:38 GMT 5
Atif sahib lahore mein masroofiyat ke bais main aur bohat se threads ki tarah yeh thread bhi bar waqt nahi dekh saka tha maine kanwal ki mubarak bad wale thread mein jab unka taweel reply parha to mujhe maloom nahi tha ke unho ne forum mein kis mumkina bad mazgi ki tarf ishara kliya hai.so maine unki us po0st ka reply karte hue danista ikhtilaafi baat ko nazr andaaz kar diya,
aaj "yeh khubsoorat" sofey aur unke sath aapke comments aur phir uss par kanwal ramish aur sunita jee ke replies parhe to soorat e haal waze ho gayee.
Atif bhai main jaanta hoon aapki tabiyat ki shuguftagi ko, aur mujhe ye bhi yaqeen hai ke aap iss forum mein yaqeenan koi bad mazgi nahin chahte lekin aik baat ka khiyaal hum sabko rakhna chahiyƩ ke iss forum ke tamam arakeen humare liye moazaz hain aur khaas tor par jahan khawateen ka masla ho wahan koi bhi jumla likhte waqt ya kisi ke baare mein koi comments karte waqt intihayee ehtiyaat ke saath kaam lena chahiye.
iss forum par aapko maloom hai ke bohat se guest bhi visit karte haiN kisi ko aik adbi forum par aa kar ghair adabi mahol nazr nahi aana chahiye. maine ye tamaam satoor iss maan ke sath likhi hain ke aap meri baat ka bura nahi maanein ge aur usi sargarmi ke sath shair o adab ke farogh mein apna kirdar adaa karte raheinge.
thanx Razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Feb 7, 2008 1:18:50 GMT 5
balke Atif bhai mera to yeh khiyaal hai ke iss thread ko ab yahin lock kar diya jaaye take baat aage na badhe, kya khiyaal hai aapka? aapka reply aane ke bad main ise lock karoonga.
|
|
|
Post by Atif Mirza on Feb 7, 2008 18:03:31 GMT 5
Razi sahib!
Maaloom nahiN kia kehna chahiay yahaN magar afsos bhi huwa keh issay ultay seedhay mazaq ka naam day kar intehaee buray remarks kay khanay maiN daal dia.
MaiN nay pehlay bhi kaha hai keh mairi kisi say dushmani nahiN, meri mazq ki aadat hai, agar kisi ko aisa mazaq pasand nahiN tau maiN nahiN karta ab say.
YahaN sub apnay apnay ki rutt lagaay huway haiN magar ghairoN ki tarah aapas maiN behave kartay haiN. Main iss tarah ka mazaq shayad apna samajh kar karta raha magar maiN ab apnay aap ko ghalat tasleem kartay huway khud hi is thread ko delete kar raha hooN. Khwah makhwah iss baat ko main bhi tool nahiN dena chahta.
Kisi ki shaeri per tanqeed kar do tau woh mind kar jata hai, kisi maiN apni ghaltiyaN tasleem karnay ka hosla nahiN. "Mann tera haji bagoyam, too mera mulla bago" wala haal chalta hai.
Mujhay yeh bataya jaay keh kitnay log haiN jo har thread per apnay remarks detay haiN? Aik woh log haiN jo aik light say mazaq ko pakaR kar uss par aisay aisay ajeeb say remarks detay haiN keh raaiee ka pahaR bann jata hai.
Agar maiN nay dotted naam likhay bhi tau aisi koi gustakhi nahiN ki jissay bud-mazgi ka naam day kar aik toofaan khaRa kar dia gaya. ChalaiN maiN yeh thread delete kar kay dekh laita hooN keh abb kia nateeja naklay ga.
MaiN nay koi aisi baat nahiN ki keh kissi ko buri lagti. Khud sunita sahiba is maiN haNstay huway jawab likhti rahiN. Sirf Kanwal ji ko hi aisa mehsoos huwa keh yahaN maiN nay kisi ki dil aazari ki hai. Aur aap ko aisa kiyooN laga keh saari bud-mazgee ka zimma daar maiN hooN.
JahaN tak aap ki baat hai keh maiN ussi sargarmi kay saath shero adab kay farogh maiN apna kirdar adaa karta rhooN tau yeh bhi bata dijiay keh kitnay log haiN jo yahaN meri tarah ki sargarmi dikhatay rahay haiN. MaiN kissi khidmat ka Credit nahiN lena chahta bus sirf iss baat ka ehsaas dilana chahta hooN keh sub say ziyda regular agar koi raha hai tau woh maiN hooN (Maanta hooN keh maiN nay kissi par ehsaan nahiN kia). MaiN na hooN ga tau yaqeenan yeh bazm achchi chalay gi. Mujhay bhi takleef nahiN ho gi keh har roz meray karma nay roz baroz minus (-) ki taraf safar karna shuroo kia huwa hai, woh bhi aakhir ruk jaay ga.
(Kuchh log yehi samjhtay haiN keh Urdu adab ki khidmat meray ilaawa sabhi kar rahay haiN. MaiN yahaN munafrat aur bud-mazgi ka ba'is bun raha hooN.)
Agar yehi baat hai tum hum pakkay chupppppppppp...................... Yeh bazm, mehfil, majlis, site un logoN ko mubarak ho. Hum kahiN aur basaira kar laiN gay, waisay bhi fitratan aur by profession hum musafir haiN.
Allah Hafiz
|
|
|
Post by Sukhanwar on Feb 7, 2008 18:57:15 GMT 5

atif bhai main aap ko jaanay to nahi doon ga yahan say aap hi nahi ab hum khud bhi musaafir hain main aap ki post par jo reply kia wo aik maan k saath kia tha aur is yaqeen k saath kia tha k aap naraz nahi hon gay bazm main aysay chotay chotay waaqiaat zindagi ki alamat hain aur agar koi naraz hota hy to wo bhi kisi maan par hota hy aap ghazal ya nazm par jab bhi baat kartay hain ya kisi par tanqeed kartay hain main nay us par kabhi aytraaz nahi kia k is forum ka maqsad hi yeh hy k hum aik doosray ki islaah karain ..harf e aakhir koi bhi nahi hota main is bazm main aap k taawan ka muntazir rahoon ga thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on Feb 7, 2008 19:13:08 GMT 5
atif bhai main aap ko jaanay to nahi doon ga yahan say aap hi nahi ab hum khud bhi musaafir hain main aap ki post par jo reply kia wo aik maan k saath kia tha aur is yaqeen k saath kia tha k aap naraz nahi hon gay bazm main aysay chotay chotay waaqiaat zindagi ki alamat hain aur agar koi naraz hota hy to wo bhi kisi maan par hota hy aap ghazal ya nazm par jab bhi baat kartay hain ya kisi par tanqeed kartay hain main nay us par kabhi aytraaz nahi kia k is forum ka maqsad hi yeh hy k hum aik doosray ki islaah karain ..harf e aakhir koi bhi nahi hota main is bazm main aap k taawan ka muntazir rahoon ga thanx razi (... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ... ...)
|
|
|
Post by khalid on Feb 8, 2008 8:03:57 GMT 5
Razi sahib!
Maaloom nahiN kia kehna chahiay yahaN magar afsos bhi huwa keh issay ultay seedhay mazaq ka naam day kar intehaee buray remarks kay khanay maiN daal dia.
MaiN nay pehlay bhi kaha hai keh mairi kisi say dushmani nahiN, meri mazq ki aadat hai, agar kisi ko aisa mazaq pasand nahiN tau maiN nahiN karta ab say.
YahaN sub apnay apnay ki rutt lagaay huway haiN magar ghairoN ki tarah aapas maiN behave kartay haiN. Main iss tarah ka mazaq shayad apna samajh kar karta raha magar maiN ab apnay aap ko ghalat tasleem kartay huway khud hi is thread ko delete kar raha hooN. Khwah makhwah iss baat ko main bhi tool nahiN dena chahta.
Kisi ki shaeri per tanqeed kar do tau woh mind kar jata hai, kisi maiN apni ghaltiyaN tasleem karnay ka hosla nahiN. "Mann tera haji bagoyam, too mera mulla bago" wala haal chalta hai.
Mujhay yeh bataya jaay keh kitnay log haiN jo har thread per apnay remarks detay haiN? Aik woh log haiN jo aik light say mazaq ko pakaR kar uss par aisay aisay ajeeb say remarks detay haiN keh raaiee ka pahaR bann jata hai.
Agar maiN nay dotted naam likhay bhi tau aisi koi gustakhi nahiN ki jissay bud-mazgi ka naam day kar aik toofaan khaRa kar dia gaya. ChalaiN maiN yeh thread delete kar kay dekh laita hooN keh abb kia nateeja naklay ga.
MaiN nay koi aisi baat nahiN ki keh kissi ko buri lagti. Khud sunita sahiba is maiN haNstay huway jawab likhti rahiN. Sirf Kanwal ji ko hi aisa mehsoos huwa keh yahaN maiN nay kisi ki dil aazari ki hai. Aur aap ko aisa kiyooN laga keh saari bud-mazgee ka zimma daar maiN hooN.
JahaN tak aap ki baat hai keh maiN ussi sargarmi kay saath shero adab kay farogh maiN apna kirdar adaa karta rhooN tau yeh bhi bata dijiay keh kitnay log haiN jo yahaN meri tarah ki sargarmi dikhatay rahay haiN. MaiN kissi khidmat ka Credit nahiN lena chahta bus sirf iss baat ka ehsaas dilana chahta hooN keh sub say ziyda regular agar koi raha hai tau woh maiN hooN (Maanta hooN keh maiN nay kissi par ehsaan nahiN kia). MaiN na hooN ga tau yaqeenan yeh bazm achchi chalay gi. Mujhay bhi takleef nahiN ho gi keh har roz meray karma nay roz baroz minus (-) ki taraf safar karna shuroo kia huwa hai, woh bhi aakhir ruk jaay ga.
(Kuchh log yehi samjhtay haiN keh Urdu adab ki khidmat meray ilaawa sabhi kar rahay haiN. MaiN yahaN munafrat aur bud-mazgi ka ba'is bun raha hooN.)
Agar yehi baat hai tum hum pakkay chupppppppppp...................... Yeh bazm, mehfil, majlis, site un logoN ko mubarak ho. Hum kahiN aur basaira kar laiN gay, waisay bhi fitratan aur by profession hum musafir haiN.
Allah Hafiz
tum wo ik aks e tah e aab bano mat aatif jis ko ik lehr bhi kaNker ki hila deitee hai
|
|
|
Post by Atif Mirza on Feb 11, 2008 21:25:46 GMT 5
maiN nay aap ki baat maan li hai
|
|