Post by Sukhanwar on Dec 2, 2007 6:56:03 GMT 5
hum talash e rizq main ghar sy nikal aay razi
ab hamari wapsi ka raasta koi nahin
main ny yeh shair 1985 main kaha tha aur aaj 23 saal baad yeh shair mujhay phir yaad aa raha hay aur bohat yaad aa raha hy
23 saal pehlay yeh shair main ny us waqt kaha tha jab main multan chorr kar behtar mustaqbil ki talash main lahore gia tha ..3 saal baad main wapis multan aa gia to main ny socha shaid main ny ghalat kaha tha hamari wapsi ka raasta to mojood tha aur hum wapis ghar aa gay hain..aaj maloom hua k nahin main 23 saal pehlay jo baat ki thee wohi drust thee hum jab aik baar ghar sy nikal aatay hain to phir wapsi ka raasta kabhi nahin milta..ya doosray lafzon main yeh keh lijiay k hum jaysay logon ki zindagian hamaysha yaksan rehti hain 23 saal baad bhi hum wahin kharray hotay hain jahan say safar aaghaz kia tha ..aaj main aik baar phir shehr chorr kar jaa raha hoon aur aik baar phir soch raha hoon k "ab hamari waapsi ka raasta koi nahin "
main kai roz baad aaj forum main aaya hoon aur in kai roz k doran main aik lamhay k liay bhi so nahin paaya soya bhi to yoon k jaysay koi jaag raha ho..aik bohat talkh faysla karna tha mujhay kai raatain us talkh fayslay sy pehlay jaag kar guzaarin aur abhi aur kitni raatain aankhon main katain gi mujhay khud maloom nahin
kuch doston ko to maloom ho chuka.. kul multan k sahafti halqon k liay yeh sab sy hayraan kun khabar thee... yakam december ko 4 bajay sham aik aansoo meri aankh sy tapka aur roznama jang multan k liay mera astifaa tehreer ho gia..
yeh basti to basa li hy aur ab hum nay makan apna
banana hy magar is sy zara hut kar banana hy
woh akhbaar jis ki multan main bunyaad rakhnay walay logon main shamil tha main ...aur jis k liay main din raat anthak kaam karta tha ..aur jahan mujhay bazahir koi parayshani bhi nahin thee ..aur jahan sy mujhay nikalwanay k liay mayray baaz mehrbaan an thak mehnat kia kartay thay ... aakhir main ny usay khud khair baad keh dia ..apni khushi sy chorr dia ( "apni khushi" ka aysa khoobsoorat istamaal urdu adab main shaid pehlay kabhi na hua ho ga )
kuch samajh nahin aa raha k kia likhoon bas batana yeh tha k main ny dunya tv network join kar lia hay ..wahan research ka kaam meray zimmay ho ga aur us ki training hasil karnay k liay aaj raat main lahore rawana ho raha hoon
aik bohat achay set up main aur bohat achi post par ja raha hoon ..raabta to qalam sy barqaraar rakhna chaahta tha magar awaz aur tasweer ki dunya mujhay awaz day rahi k ab jeenay k taqazay jo tabdeel ho gaay hain ...log mujhay mubarak baad day rahay hain magar mujhay samajh nahin aa rahi k mubarak baad kis baat ki wasool karoon ..us akhbar ko chorrnay ki mubarakbaad jis k saath wabastagi k log khwaab daykhtay hain aur woh khab main bhi daykhta tha...multan chorrnay ki mubarakbaad jo meray liay shehr nahin meri muhabat hy meri rooh main shamil hy ...qalam k saath raabta kamzor honay ki mubarak baad (keh yeh raabta main tootnay to bahar haal na doon ga )
multan ki yaadain ,yahan k dost ,meri auqaat sy barh kar milnay wali bay shumaar muhabatain zindagi ka asal sarmaya hy jisay main kabhi faramosh nain kar sakoon ga
main kuch nahin keh sakta k meri multan wapsi kab ho gi ?ho gi bhi ya nahin ho gi?
aap k saath kuch din ba qaaidgi k saath raabta nahin rakh sakoon ga ..sukhanwaron ki is chotti see dunya ka rafi tabasum sahib khyaal rakhain gy main aik naai dunya main ja raha hoon
saza mili hy phatay huay mashkeezay bhar kar pohnchanay ki
jab hum aik ko bhar laytay hain dooja khaali ho jaata hy
yeh khat likhtay likhtay din nikal aaya ..acha hua isi bahanay zindagi ki aik aur raat kut gaai
mujhay apni duaaon main yaad rakhiay ga
do taaza ashaar par aap say ijaazat chaahoon ga
dosti chorr kar,dushmani chorr kar
main chala shehr sy zindagi chorr kar
waqt e rukhsat wo mujh sy yeh kehnay laga
jaa rahay ho mujhay waaqayii chorr kar
razi-ud-din razi