|
Post by Sukhanwar on May 12, 2007 17:58:05 GMT 5
sukhanwar jin nashaib o faraz sy guzarta raha un main hamaray taseesi arakeen k hoslay hamaysha buland rahay in taseesi arakeen main rafi tabasum sahib,ramishjan sahib ,tanweer sahib, naveed sidiqui sahib ,qamar sajid sahib ,sunita ji ,kanwal ji ,k naam sar e fehrist hain hum nay in tamaam doston ko bohat see admin powers day dee hain taa keh hamari ghair mojoodgi main yeh tamaam dost forum ki daykh bhaal kar sakain is k ilaawa hum ny mukhtalif forums k liay naay mederators bhi muqarar kar diay hain ..humain umeed hay k aap ka taawan hamaysha isi tara shamil e haal rahay ga thanx razi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 12, 2007 22:34:24 GMT 5
sabsay pehlay to shukria Razi bhai aetemaad ka yaqeenan aap ka aetemaad hasil hona bhi aik aezaz hay aik bar phir shukria kay aap nay mujhay sahiba likha.................................................................................
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 13, 2007 10:44:34 GMT 5
aik bar phir shukria kay aap nay mujhay sahiba likha................................................................................. janab aap ko shiba likh bhi dia to kia harj hy aap ki tasweer daykh kar kon kaafir aap ko sahiba tasleem karay ga thanx razi
|
|
|
Post by sunita on May 13, 2007 15:39:36 GMT 5
Razi bhai bahut bahut shukariya jo aap ne hamen itna maan diya varn log to pal main sab bhuul jaate hain.yeh aap ka pyaar hi hai jo hamen yahan aap ke saath hone ko majboor karta hai.aap ko har kaam main tarakki mile aur koii dushman aap ka kabhi kuch na bigaad sake, bas yeh hi duaa hai.
|
|
|
Post by kanwal on May 26, 2007 19:00:26 GMT 5
Iss maan ka, aitbaar o aitmaad ke liye be had shukrguzaar haiN; go ke aaj aitbaar o aitmaad naaM ki chiryaa baadloN meiN kahiN chhup baithi hai magar aapne phir bhi jo maan diya hai Dua karooNgi ke aapke yeh taseesi arakeen ko Khuda tallaH aapki umeedoN par poora utarne ka mauqa ataa kare ,....
|
|