|
Post by Rafi Tabasum on May 10, 2007 12:39:30 GMT 5
Razi bhai maiN is mehfil maiN maujood aur ainda aanay walay sabhi membraan ki janib say yeh mehfil na,ay jazbooN aur nai twanaioN kay saath daubara sjanay par aap ka shukria ada kartay huay is ehad ka izhaar karta hooN keh ham sab manfi hathkanday istemaal karnay walooN kay khelaaf hamaisha aap kay shana be shana kharay hooN gay
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 10, 2007 14:05:01 GMT 5
Razi bhai maiN is mehfil maiN maujood aur ainda aanay walay sabhi membraan ki janib say yeh mehfil na,ay jazbooN aur nai twanaioN kay saath daubara sjanay par aap ka shukria ada kartay huay is ehad ka izhaar karta hooN keh ham sab manfi hathkanday istemaal karnay walooN kay khelaaf hamaisha aap kay shana be shana kharay hooN gay bohat shukria rafi sahib yeh aap ki muhabat hi to hy jo mujhy ab tak haar maan_nay par aamada nahin honay dayti wagarna pichlay 2 barson k doran chand logon ny bharpoor koshish ki k yeh mehfil kisi tara khtm ho jaay ..magar un chand logon k muqaablayy main aik barri tadaad aap jaysay doston ki hay jo mera hosla barhaatay hain aap mera shukria adaa kion kartay hain janab mashkoor to main hoon aap ka thanx razi
|
|
|
Post by sunita on May 10, 2007 17:49:38 GMT 5
Razi bhai haar maanana buzdilon ka kaam hai, aur ham sab jo yahan aaj aap ke saath hain vo iss baat ka suboot hain ki ham main se koii bhi haar maanane vaala nahin hai.vo chand log jo bhi hoN, khud thak kar haar jaayenge.ek bazm kharaab karenge to ham doosari bazm har baar banaayenge aur pehle se zayaada zor shor se iss bazm ko sajaayenge.aap akele nahin hain na honge.ham sab aap ke saath hain aur rahenge.
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 11, 2007 0:33:42 GMT 5
Razi bhai haar maanana buzdilon ka kaam hai, aur ham sab jo yahan aaj aap ke saath hain vo iss baat ka suboot hain ki ham main se koii bhi haar maanane vaala nahin hai.vo chand log jo bhi hoN, khud thak kar haar jaayenge.ek bazm kharaab karenge to ham doosari bazm har baar banaayenge aur pehle se zayaada zor shor se iss bazm ko sajaayenge.aap akele nahin hain na honge.ham sab aap ke saath hain aur rahenge. ji drust kaha sunita ji aap nay aap bhi tamam doston ko itlaa kar dijiay k naya link ban chuka hy forumka aur woh sab yahan aa jaain thanx razi
|
|
|
Post by kanwal on May 11, 2007 22:48:57 GMT 5
Banaana, mitaana, phir banaana, phir mitaana yehi zindagi hai,.. aur aksar dekha gaya hai ke unhi ki rahoN meiN pather rakhe jaate haiN jinse koi darr koi khauf ho,...
Hum aksar aqwaal meiN parhte haiN ke kisi ko giraa ke bada bane ki bajaaye khud ko bada karo par afsos hum sirf parh ke wah kar jaate haiN aur karte wohi haiN jin se mana kiya gaya hai shayed iss tarah insaan apne zameer ko maarta jaata hai,...
Khair JahaN bastiyaN ki bastiyaN nist o na bood ho jaati haiN wahaN bhi to Phir roshani ki kiran phalti hai, gulshan mehekte haiN yeh to phir aik net ka forum tha,...
Net to ik seraab hai,... Insaan net ka Khuda bana to kya hua, kisi din Rab ul kaenaat ne apna jalwaa dikhaaya to aik Forum kya poora net hi yuN aankhoN se iojhal ho jaaye ga jaise aankh khulne par khaaB ,...
So razi jee jaan hai to jahaan hai,... himmat ho to inn forums ke mohtaaj nahiN ,.... Aur aap himmat kaise haar sakte the aapke saath to bohat se logoN ki duaeiN thiN,.... thiN na?......
|
|