|
Post by shahkaar on May 8, 2007 1:04:40 GMT 5
[shadow=yellow,left,600][glow=green,5300]Razi bhai
Janam din aap ko buhut buhut mubarak ho.dua hay keh aap ka yeh din hamesha ke leye khushioon ka zeena sabit ho aur aap apni guzashta zindigi ko mad e nazar rakhtay howay ayendaa ke leye behtreen lahaayaa e amal her kaam ke leye murattab kerain, buhut si neek khawahishaat.
Wassalam[/glow][/shadow]
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 8, 2007 1:07:53 GMT 5
bhai waqar aap ki muhabat k aap ny yaad rakha hamara to yeh janam din is baar sukhanwar forum k naay janam main beet gia thanx razi
|
|
noshi
ibtidaai rukn
Posts: 31
|
Post by noshi on May 8, 2007 2:40:58 GMT 5
Razi
Aapko umr ka ye eham din mubarak ho. America mein tuo aaj 7 May hai....So takheer nahin hui. Doaen
Noshi
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 8, 2007 2:50:16 GMT 5
|
|
|
Post by sunita on May 8, 2007 3:11:30 GMT 5
Razi bhai aap to sachhi main mere bhai hue kyunki aaj mere chhote bhai ki bhi b`day hai.aap ko janam din ki dheron mubaarakbaad meri aur se,meri duaa hai ki Allah aap ki har raah aasaan kare aur aap duniya main bahut naam kamaayen, aap ko Allah lambi aur sehatmand zindagi ataa kare.hamesha khush rahen.aameen.
|
|
|
Post by kanwal on May 8, 2007 16:43:10 GMT 5
Jee razi jee ,....
Dil to bohat tha ke kal hi aapko wish karti lekin aik to account active nahiN hua aur doosra kal main itni thaki hui thi ke baithna muhaal tha so 5 mint hi baith saki,....
Log aate haiN, jaate haiN, mushkileiN aati haiN, jaati haiN, KhushyaN aati haiN jaati haiN, yaadeiN aati haiN jaati hai, bas aik cheez hai jo insaan ke saath saath saaye ki tarah uski hifaazat karti hai, use har dukh, gham, pareshaani meiN jeene ka hausla bakhashti hai,....
Aur wo hai "DUA"
Aur aapke janamdin par dauoN se behtar mujhe koi tohfa nahiN laga,... Khuda aapka qadam ba qadam Haami o naasir rahe aur aapko apne maqsad meiN kaamiyabi o kaamrani ataa kare,...
Yeh bhi itfaaQ ke Sukhanwar ka doobara aghaaz bhi aapke janam din pe hua, so kehte haiN har kaam meiN maslehat hua karti hai, jo sukhanwar ke saath hua, Aur jisne kia Khuda behtar jaanta hai, Yeh muamla to uske spurd kiya,... lekin humara yeh farz banta hai ke pehley se ziyada apne maqsad meiN date rahe,.... kiyonke humara pukhta azm hi unke liye jawaab hai.
Kisi ka aik sher jo bohat acha laga mujhe ke:
Karna hai to karo Khud meiN kashish paida Har shakhs ko hasrat se dekha nahiN karte Har shakhs hota nahiN har shakhs ke qaabil Har shakhs ko apne liye parkha nahiN karte.
Meri Dua hai ke aapka yeh saal bohat si khushyaN apne daaman meiN samete hue aaye aur Aapke sath haiN aapke sab mukhlis dost,....
Aapke aur aapki iss bazm ke naaM:
Nayee konpleiN phooteiN gi phir yahaN kal Yeh hai reet qudrat ki barsoN puraani
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 8, 2007 22:38:09 GMT 5
Razi Aapko umr ka ye eham din mubarak ho. America mein tuo aaj 7 May hai....So takheer nahin hui. Doaen Noshi shukria noshi k aap ny is moqay par yaad rakha razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 8, 2007 22:54:44 GMT 5
shukria rafi bhaai
|
|
Nadia
ibtidaai rukn
Posts: 66
|
Post by Nadia on May 8, 2007 23:06:04 GMT 5
salam
Razi sahib. meri tarf se app ko salgirha ki boht boht mubarkbaad.
Allah app ko lambi aur sehat wali zindagi ataa kare Ameen.
|
|
|
Post by uzair143 on May 8, 2007 23:31:44 GMT 5
RAZI SB
MERI TAREF SE BHI JANAM DIN MUBARAK HO Allah app ko lambi aur sehat wali zindagi ataa kare Ameen
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 8, 2007 23:56:09 GMT 5
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 16, 2007 23:27:43 GMT 5
Razi bhai aap to sachhi main mere bhai hue kyunki aaj mere chhote bhai ki bhi b`day hai.aap ko janam din ki dheron mubaarakbaad meri aur se,meri duaa hai ki Allah aap ki har raah aasaan kare aur aap duniya main bahut naam kamaayen, aap ko Allah lambi aur sehatmand zindagi ataa kare.hamesha khush rahen.aameen. sunita ji aap k bhaai ka janam din bhi yehi hy aur aap ny isi naatay humain bhi apna bhaai kaha bohat shukria yeh izzat daynay ka aap ny jin nayk tamanaaon ka izhaar kia us par hum aap k mamnoon hain thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 16, 2007 23:39:18 GMT 5
bhai Jee razi jee ,....
Dil to bohat tha ke kal hi aapko wish karti lekin aik to account active nahiN hua aur doosra kal main itni thaki hui thi ke baithna muhaal tha so 5 mint hi baith saki,....
Log aate haiN, jaate haiN, mushkileiN aati haiN, jaati haiN, KhushyaN aati haiN jaati haiN, yaadeiN aati haiN jaati hai, bas aik cheez hai jo insaan ke saath saath saaye ki tarah uski hifaazat karti hai, use har dukh, gham, pareshaani meiN jeene ka hausla bakhashti hai,....
Aur wo hai "DUA"
Aur aapke janamdin par dauoN se behtar mujhe koi tohfa nahiN laga,... Khuda aapka qadam ba qadam Haami o naasir rahe aur aapko apne maqsad meiN kaamiyabi o kaamrani ataa kare,...
Yeh bhi itfaaQ ke Sukhanwar ka doobara aghaaz bhi aapke janam din pe hua, so kehte haiN har kaam meiN maslehat hua karti hai, jo sukhanwar ke saath hua, Aur jisne kia Khuda behtar jaanta hai, Yeh muamla to uske spurd kiya,... lekin humara yeh farz banta hai ke pehley se ziyada apne maqsad meiN date rahe,.... kiyonke humara pukhta azm hi unke liye jawaab hai.
Kisi ka aik sher jo bohat acha laga mujhe ke:
Karna hai to karo Khud meiN kashish paida Har shakhs ko hasrat se dekha nahiN karte Har shakhs hota nahiN har shakhs ke qaabil Har shakhs ko apne liye parkha nahiN karte.
Meri Dua hai ke aapka yeh saal bohat si khushyaN apne daaman meiN samete hue aaye aur Aapke sath haiN aapke sab mukhlis dost,....
Aapke aur aapki iss bazm ke naaM:
Nayee konpleiN phooteiN gi phir yahaN kal Yeh hai reet qudrat ki barsoN puraani
kanwal tum ny itnay khaloos sy mujhay wish kia aur main itnay din k baad jawab day raha hoon is ki waja yeh hy k main itna arsa nay board par doston ko jama karta raha bohat khushi hui tumhari yeh khaloos wali duaain parh k bohat shukria khush raho sada thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 16, 2007 23:42:39 GMT 5
salam Razi sahib. meri tarf se app ko salgirha ki boht boht mubarkbaad. Allah app ko lambi aur sehat wali zindagi ataa kare Ameen. nadia ji bohat shukria thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 16, 2007 23:47:19 GMT 5
RAZI SB MERI TAREF SE BHI JANAM DIN MUBARAK HO Allah app ko lambi aur sehat wali zindagi ataa kare Ameen shukria uzair bohat muhabat hy aap ki thanx razi
|
|