Post by Sukhanwar on Oct 4, 2008 11:40:13 GMT 5
razi bhaii
pata naheen kiss mood main tha mera lehja "khudaa e sukhan" wala ho giya jiss per mazrat kha hoon.werna "mun aanam keh maun danam".japan main eid manana yehi samja jata hay keh kisi musjid main namaz per li jaey.meray naseeb main tu woh bhi na huii .uss din bhi meri classes theian.osaka say aik Ghantay ki musafat per aik sher hay"kobey" wahan masjid hay, wahann bara ijtama hota hay.main pehlay her "fitra" day aaya tha.jo 1500 yen teqreeban 1000 Rs pakistani bantay hain .yeh aik aadmi ka hay.shayaed iss liey keh japan main mengaii bohaat hay.lakin tunkha keh lehhaz say mehngaii maloom naheen hoti.wasay aik "karayla" 150 yen yani 100 Rs pakistani ka hay.japan ki batain bataoon tu kai din lag jaian gay.or sufarnamoon say main bagi hoon.japan main itni khamoosi hay keh "shoor" ko tarass giaya hoon.itnay muhazab hain jitna naheen hona chaeay.sarak per aik pata bhi daikhain gay tu authanay ko dooar parain gain.japani khanay bohat manhgay hain achay hotal main 4 aadmi khana khain tu 60000 sath hazaar yen tuqreeban 40000 chalees hazaar pakistani Rs bill aata hay.lakin yahan tunkhaian bhi lakoon main haan.meri taraf say shakir ko eid galay milna.yahan galay milnay ka riwaaj naheen hay werna kisii say milnay ki kosish kerta.
yaar main to aap say chair chaar kar raha tha aap ki aajzi ko bhi samajhta hoon aur aap ki kayfiat ko bhi
pardais main eid ki aamad kitni aziat naak hoti hy is ka mujhy andaza hay
laykin bhaai hum konsa khush hain tumharay baghair
eid ki chuttian ghar main so kar guzaarin
bus shakir aur birmani sy mulaqat hui
teesray roz albtaa hum ny sukhanwar ka eid milan mushaaira rakha hua tha so is moqay par kuch doston sy mulaqat ho gaai aur chand ghantay achay guzar gaay
japan ki baatain na sunaya karo hum jealous hotay hain
100 rupay ka karayla neem charha to nahin ?
boht see muhabatain
thanx
razi