|
Post by brijinder on May 11, 2007 2:03:49 GMT 5
Kaisa hai yeh dil???
Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN
Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri
Fason-e-ghasoo tera ab na karayga girftaar mujhay Har din ab na rehaygi teri hasrat-e-didaar mujhay Ab na hoga mujhay teri is berukhi pay raNj koi Sangsaar na karygaa ab tera yeh ghai sa kirdaar mujhay
Har ada teri ab na meray alfaaz main dhalygi Tujhay paany ki tamanna na meray khwaaboN main palaygi Ab na hoga aisa meri ziNdgi ka nizaam Ki teray ruknay say rukay aur chalnay say chalygi
Kasam to lay nahi sakta maiN is sub ki Koshish ka vaadaa khud say hai zarror magar Kya karuNga kaisay saMbhalUnga kuch to bataay koi Daikhogi kahiN tum ho kar udaasi maiN choor agar?
------------------------------------
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 11, 2007 7:48:18 GMT 5
wah bohat khoob Brijinder ji
|
|
|
Post by uzair143 on May 11, 2007 22:37:29 GMT 5
brijinder sb
bout khoob
|
|
|
Post by kanwal on May 12, 2007 0:13:33 GMT 5
bohat umdaa daad ke phooL aapke lyie ,..
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on May 13, 2007 2:11:49 GMT 5
Nice nazam janab.. mery taraf say daad haazir hai itny khubsurat nazam par.
|
|
|
Post by brijinder on May 13, 2007 6:22:55 GMT 5
I am thankful to all of u for the very warm words of appreciation.Hope this poem lingers in urhearts for some time.
|
|