|
Post by Sukhanwar on Aug 18, 2008 19:54:29 GMT 5
doston ko mutlaa karr raha hoon k hum sab k piaaray dost rafi tabasum sahab ka operation ho gia hy operation aaj subh 10 bajay shuro hua usi lamhay rafi sahab k bhaai sy mayri baat hui thee shaam ko main ny raabta kia to maloom hua k operation kaamyaab ho gia hy rafi sahab abhi hosh main nahi thay magar woh khayriat sy hain unhain ward main shift kar dia gia hy hum un ki salaamti k liay dua go hain thanx razi
|
|
|
Post by Ghazalsara on Aug 18, 2008 22:16:22 GMT 5
Alhamdolillah! allah ka karam hay ye.
|
|
|
Post by Tanweer on Aug 19, 2008 1:13:34 GMT 5
Dr. Rafi Tabasum Sahib!
Allah Tallah aaienda apna karam rakhay, aur beemari aur takaleef say dor rakhien. Jald tandrustagi k liey duagu.
Tanweer
|
|
|
Post by saeed on Aug 19, 2008 3:35:57 GMT 5
Great news. Best wishes Rafi bhai keliye.
saeed
|
|
|
Post by Sukhanwar on Aug 21, 2008 8:42:04 GMT 5
kul aatif sahab ny rafi sahab ki khayriat maloom karnay k liay lahore fone kia rafi sahab ab roo ba sehat hain magar abhi unhain baat karnay ki ijaazat nahin main ny unhain dobara fona karna munasib nahi samjha k is condition main unhain mukamal rest ki zaroorat hy rafi bhaai k baghair forum main kitni udaasi hy razi
|
|
shaira
ibtidaai rukn
Posts: 29
|
Post by shaira on Aug 22, 2008 0:11:52 GMT 5
kul aatif sahab ny rafi sahab ki khayriat maloom karnay k liay lahore fone kia rafi sahab ab roo ba sehat hain magar abhi unhain baat karnay ki ijaazat nahin main ny unhain dobara fona karna munasib nahi samjha k is condition main unhain mukamal rest ki zaroorat hy rafi bhaai k baghair forum main kitni udaasi hy razi salaam razi sahib, Rafi sahib ke kahiriyet ki ittellah hum tak pahunchane ke liye dili shukriya. Allah ta'ala unhe jald sehat e kamila ata fermaaye. sara
|
|
meena
ibtidaai rukn
Posts: 29
|
Post by meena on Aug 23, 2008 16:08:18 GMT 5
Allah sai dua go hun ke wo aap ko shifay-e- kamila ata farmaaye..............Ameen
|
|
|
Post by Sukhanwar on Aug 23, 2008 22:37:57 GMT 5
sab doston ko yeh jaan kar khushi ho gi k ab rafi sahab khayriat say hain kul mayri un sy fone par baat bhi hui aur ab woh chalnay phirnay k qabil bhi ho gaay hain aik do roz main un ki ghar waapsi ho jaay gi unhon ny sukhanwar k tamaam doston ko salam kaha hy thanx razi
|
|
|
Post by Tanweer on Aug 24, 2008 17:33:23 GMT 5
Walekom Assalam Rafi sahib!
Allah Tallah aapko khair-o-khoobi aur sehat aur tandrusti k saath ghar wapis laey.
Aik bar phir marz ko shikast day kar fatha^yaab honay par mobarik^bad.
Tanweer
|
|
|
Post by Atif Mirza on Aug 24, 2008 17:45:09 GMT 5
Alhamdulillah! Allah Taalaa say mazeed sehat ki dua hai. 20 Aug ko maiN Aik sarkari kaam kay silsilay maiN Burewala kay qareeb say guzra. Bahut dil kia keh Rafi bhai ziyarat karkay jaooN. Magar hamara route shehr kay bahar 10 KM say hi kissi aur taaf jaanay ka tha. Bahar haal Rafi Bhai ki baiti say baat huwi aur khairiyat ka pata chalaa. Uss waqt Doctord nay Rafi Bhai ko bolnay say manaa kia huwa tha. Ab shaam ko InshaAllah un say baat bhi karooN ga.
|
|
|
Post by neelofar on Aug 25, 2008 17:16:14 GMT 5
Allah ka shukr hai & ye duaa bhi k Allah sab ko apne hifz o aman me rakhe..aamin
GeT WeLl SoOn bhai..................sukhanwar is waiting for u
|
|
|
Post by phototech81 on Aug 25, 2008 19:52:22 GMT 5
mujay afsos hai k main etny den yahan nahi aa saka rafi sab ab aap ki tabeyat kesi hai ALLAH TALA JAN JI aap ko sehat-e-kamala ata farmay amin
|
|
|
Post by Sukhanwar on Aug 25, 2008 23:05:29 GMT 5
aaj raat 8 bajay k qareeb mujhy rafi sahab ka fone mosool hua rafi sahab ki boht fresh awaaz suni woh us waqt okara cross kar rahay thay aur apnay ghar ki janab rawan dawan thay boht khushi hui un ko khush daykh kar sab ka shukria adaa kar rahay thay aap sab ki duaaon sy woh ab theek hain aur jald forum par bhi nazar aain gay thanx razi
|
|
tarana
ibtidaai rukn
Posts: 62
|
Post by tarana on Aug 26, 2008 2:55:38 GMT 5
Salam Razi bhai, JazakAlah Rafi bhai k kamyab operation ki ittala ham tak pohonchanay ka bohot bohot shukriya. Allah talah se dua he k wo jald sehatyaab ho ker dobara apni is bazm main shamil hon. (Aameen).
|
|
|
Post by Salem Bashwar on Aug 28, 2008 19:34:57 GMT 5
Allah se dua hai Rafi Saheb jald sehat-e-kamil se sehatmand zindagi guzarein. Razi saheb ka mashkoor houn jinhoun ne hal pal ki khabar se sabko agah kiya. jazak-allah. Mukhlis Salem Bashwar
|
|