|
Post by Sukhanwar on Jul 18, 2009 23:55:57 GMT 5
sukhanwar ki chothee salgira k moqay per joint thread main aap sab ko khush aamdeed kehta hoon aaj hum hasb e riwayat is thread main sukhanwar ki salgira manaain gay aur guzray lamhon ko yaad karain gay aaiay sahab moHteram Razi bha'ee
salaam-e-khuloos
aap ko bhi bohat bohat mubarak ho
Allah kare keh ilm-o-adab ki dildaada -o-perwerdah yeh site hameshah phalay phoolay aur ma'rfat-o-Hikmat k moti bahkhairti rehay. Ameen
yehaN per mojuud aik Khaandan kaa saa maHol yuNhi sab per hameshah apni muHabbatein nichaawar kertaa rehay.sumaa aameen
meri teraf se aikbaar phir aapko aur tamaam membraan ko
Khush rehaindilee mubarakbaadtahira sahiba boht shukria aap ka is mehfil ki ronaq aap jaysay ehle adab k dum say hi qaaim hy
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 16, 2009 23:41:08 GMT 5
maroof shair aur sukhanwar forum k mod aatif mirza k saath aik shaam aaj shaam 8 bajay shelton tower shareef plaza multan main munaqid ho gee sadarat dr mohamad ameen karain gay taqreeb ka ehtmaam sukhanwar forum nay SPO k taawan sy kia hay sukhanwar forum say taluk rakhnay walay doston ko shirkat ki daawat dee jati hay
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 16, 2009 23:23:01 GMT 5
sukhanwar ki chothee salgira k moqay per joint thread main aap sab ko khush aamdeed kehta hoon aaj hum hasb e riwayat is thread main sukhanwar ki salgira manaain gay aur guzray lamhon ko yaad karain gay aaiay sahab
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 13, 2009 23:56:31 GMT 5
oho sadqay jaaoon itni paari tasweerain maha k liay boht see duaain sada khush rahay hamari gurria
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 13, 2009 23:52:43 GMT 5
qamar sahab salgira mubarak ho
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 13, 2009 23:43:57 GMT 5
sukhanwar ki salgira k moqay per hasbe riwayat 16 aur 17 july ki darmyani shub pakistani waqt k mutabiq raat 12 bajay hum sub aik joint thread main aik doosray k saath baat cheet karain gay aap sub ki naik tamanaaon ka shukria
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 1, 2009 23:05:10 GMT 5
multan walon k liay to yeh achi khabar nahin albata karachi walon ko naveed ho keh aatif mirza ka tbaadla karachi ho gia hy suna hay aatif bhaai isi maah hum sy juda ho k karachi walon sy hum kalam hon gay sukhanwar forum ko multan main aik idaaray k taur per faal bananay main aatif mirza ka boht haath hay boht muhabat karnay wali shakhsiat hamari duaa hy woh jahan rahain khush rahain un k saath kabhi na khatm honay wala taaluk qaaim rahay ga thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 26, 2009 0:02:20 GMT 5
achi nazm hay janab
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 26, 2009 0:00:02 GMT 5
brijinder ji khoob hay
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 25, 2009 23:38:02 GMT 5
naay arakeen ko khush aamdeed qamar sajid to khair is mehfil main naay nahin hain laykin wo itnay arsay baad aa rahay hain to unhain naya samajhnay main koi muzaaiqa nahin
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 25, 2009 23:31:29 GMT 5
qamar k walid kay intqaal ki khabar main ny hi doston ko dee magar na jaanay kion is thread par taziat k jumlay tehreer kartay huay mujhy kuch samajh nahin aa raha k kia likhoon meri aur qamar ki dosti koi 30 saal per muheet hay aur itna hi arsa un k walid k saath taaluk ka hy aik bohat muhabat karnay walay insaan adab k saath un ki jo wabastgi thee yeh usi ka nateeja hy k qamar aur us k donon bhaaion ka bhi kitab aur shair o adab sy taaluk hy qamar sy aaj bhi mayri mulaqaat hui hy hum dua go hain k usay yeh dukh bardaasht karnay ka hosla naseeb ho
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 16, 2009 10:06:26 GMT 5
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 15, 2009 23:50:55 GMT 5
mubashir aap ko dili mubarak baad dua hy aanay walay din aap k liay sehat aur salaamti ka pyaam laain
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 15, 2009 23:44:57 GMT 5
bhai boht umda hy
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 13, 2009 9:51:50 GMT 5
khoobsoorat poetry aur us k mutabiq aik umda video thanx
|
|