Aadaab arz karte haiN hum apni pyaari behan sunita kaukaisee haiN aap?har kaam duaa se shuru hona chaahiiye
sahi farmaa rahee haiN aap.
iss liye yeh naat aap sab ke saath share karna chaahti hun
ATA KEEJIYE.Madine ki shaam o sahar chaahta hoon
Dayaar e Muhammed me ghar chaahta hoon
Mujhe bakhsh day Unki chahat Khudaya
Zamane ki shohrat na zar chaahta hoon
Rahay bus nigahaun mein Taibah ka manzar
Mai har lamah Unki nazar chaahta hoon
Hai khaish ladoon Apke dushmanau se
Ali jaisa Ya Rab! jigar chaahta hoon
Asar sab ke dil par kare Naat meri
Ilahi mai aisa hunar chaahta hoon