|
Post by riaz ahmed saraa on Jun 24, 2011 13:53:33 GMT 5
tu jis ko pagal kehta hai tujhe apna har pal kehta hai
kaya lutf bhala sajan ke bina barsaat ka badal kehta hai
tira meet milan kab aa'ae gaa mujhe chaand mukammal kehta hai
hai shaam haseen saweeray se tire nain ka kaajal kehta hai
hai vo farzaanaa ya vo deevaanaa jo shehr ko jangal ko jangal kehta hai
dushvaar bhulaana hai usko mujhe ishq musalsal kehta hai
kayaa zikr saraa ka karte ho har sh'r vo akmal kehta hai
|
|