|
Post by saeed on Apr 30, 2008 7:16:00 GMT 5
Afsos ke sath shaer doston ko itelaa di jati hai keh haaliya MAHAZ se dil-berdashta hoker mohtaram dost aur shaer Aqeel Malik Sukhanwar chorhker ja chukey hain. unhon ne apni ID tak delete kerdi hai.
Is afsosnak moqa pe chand membraan ko mubarakbad na dena bhi ziadati hogi..... Muhtermeen Suneeta sahiba, Khalid sb aur Aatif Mirza sb aapko buhut Mubaak ho!!!
aage aage dekhiye hota hai kiya......
|
|
|
Post by Sukhanwar on Apr 30, 2008 13:46:03 GMT 5
Afsos ke sath shaer doston ko itelaa di jati hai keh haaliya MAHAZ se dil-berdashta hoker mohtaram dost aur shaer Aqeel Malik Sukhanwar chorhker ja chukey hain. unhon ne apni ID tak delete kerdi hai. Is afsosnak moqa pe chand membraan ko mubarakbad na dena bhi ziadati hogi..... Muhtermeen Suneeta sahiba, Khalid sb aur Aatif Mirza sb aapko buhut Mubaak ho!!! aage aage dekhiye hota hai kiya...... saeed sahib aapto yeh itla is thread kzariay dy rahay hain mujhy yeh khabar aik pm k zariay milijo aqeel sahib ny apni id delete karnay sy pehlay mujhy irssaal kia tha is hawalay sy kisi ko mubarak baad dayna ya isay kisi kihaar ya jeet qaraar dayna munasib nahin .. main guzashta kai roz sy jaari is behas ko parh bhi raha tha is say pehlay nadeem bhabha ki ghazal par baat tawaalat ikhtiaar kar gai aur bad mazgi hui jis k baad nadeemsahib ny apni ghazal aur replies delete kar diay sunita ji ko aytraaz hy k main ny is moqay par mudaakhlat kion na ki aur khaamoshi kionikhtiaar kiay rakhi ..is hawalay sy mera moaqaf mukhtalif hy main is liay khamosh raha k main daykh raha tha kyeh behas baa shaaoor aur parhay likhy logon k darmyaanjaari hy kisi bhi ghazal par baat karna sab k haq hy magar yeh bhi aikhaqeeqat hy k baat karnay walay ko kisi ki tazheeq nahi karni chaahiay ..agar yeh baat na samajh logon k drmyaan hoti to phir mudaakhlat bhi zaroori thee laykin yeh baat chal rahi thee sunita sahiba,aqeel malik,saeed sahib,khalid sahib,aatif mirza aur nadeem bhabha k darmyaan yeh tamaam naamaysay hain k jo shair samajhtay bhi hain aur sab apni alag shanaakht rakhtay hain ... agar in baashaoor qalamkaaron k mabain chalnay wali behas bhi is nehaj par chali jaay k is k nateejay main aik dost bam chorr kar chala jaay to is say ziaada afsosnaak baat aur koi nahi ho sakti yeh tamaam log to woh hain k jin say main tawaqa rakhta hoon k wo uljhay huay muaamlaat ko suljha saktay hain ab in ki guftagoo main suljhaao k liay meri mudaakhlat kia jaaiz hoti? bazm chaorrna ya bazm chorrnay ki dhamkian dayna masalay ka hul nahi hota.. suikhanwar main aysi baatain mudat sy chalti rahi hain dost kuch arsay k liay aik doosray sy khafa bhi huay aur phir ikhtlafaat khatm bhi ho gaay sunita ji kanwal aur aatif k darmyaan 3 maah qabl jo talkhi hui thee woh bhi sangeen dikhaai dayti thee magar phir woh khatm hui to yoon hui k ab in main koi gili shikwa dikhaai nahi dayta asal baat yeh hy k hum main bardaasht khatm hoti jaa rahi hay apni baat ko atal samajhna aur apnay kahay ko harf e aakhir samajhna hamara mizaaj ban gia hy yehi wo soorat hay k jo ikhtalafaat ka baais banti hay forum main mojood threads gawaah hain k meri ghazlon par bhi kaai baar sakht comments aatay hain khud aik do baar aqeel sahib ny bhi meray ashaar par karri tanqeed ki magar main nay is ka bura na manaya aur un k kahay ko agar tasleem na kia to khush dili k saath un ka shukria zaroor ada kia ..main jab koi takhleeq open forum main paysh karta hoon to phir mujhy us par baat karnay ka haq bhi sab ko dayna chaahiay haan aik baat aur bhi hy k khaah makhwaa bhi kisi ko nishana nahi banana chaahiay .. lafzon ki dunya to aysi hy k yahan koi baat koi khyaal koi misrta hatmi nahin qaraar paata .. aap koi bhi mazboot tehreer lay aain agar main us main say chaahonn to boht see khaamian nikaal sakta hoon .. aur yehi rawaiya kasheedgi ka baais banta hy mujy aqeel k jaanay ka afsos hy aur mujhy yaqeen hy k k woh jis tara chupkay sy gaay hain usi tara kisi roz khaamoshi sy aa bhi jaain gy zaroorat is baat ki hy k is kasheedgi ko khatm kia jaay aap ko jin doston sy gila hy ya dost aap ki tanqeed bardaasht nahi kar rahay aap kuch arsay k liay un k threads par reply na karain ya mahol behtar bananay k liay hi sahi koi aik muhabat bhara jumla likh dain hum yahan muhabat baanatnay aain to munaasib ho ga .. zamaanay main itni boht see talkhiaan hain un sy nijaat k liay to hum yahan aatay hain to kia yahan bhi talkhi hi honi chaahiay ? agar kisi ko meri koi baat buri lagi ho to muaafi chaahta hoon thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on Apr 30, 2008 19:37:07 GMT 5
Saeed Bhai! Kia dostoN aur bhayoN maiN talkhi kay baad hamaish naarazgi reh sakti hai? (NahiN) Kia hum sub hi nay kam zarfi ka kaam nahiN kia? ( Ji haaN) Kia yeh talkhi hum sub ka qasoor nahiN? (Ji haaN)
Tau kia aisa nahiN ho sakta keh dobara dosti ho jaay. pehl mairi taraf say, maiN aap say maazrat karta hooN. Aab aap ka muskarahat say bharpoor Jawab zaroor aanaa chahiay warna maiN samjooN ka keh aap naarazgi khatm nahiN karna chahtay.
Razi Sahib nay bataya keh meri, kaNwal aur Sunita ki aap maiN talkhi huwi thi laikin kuch hi din maiN khatm ho gayee aur ab aiasay hai keh aap ko pata hai......
ChalaiN ab laRaee khatm
|
|
|
Post by Sukhanwar on Apr 30, 2008 22:44:57 GMT 5
Saeed Bhai! Kia dostoN aur bhayoN maiN talkhi kay baad hamaish naarazgi reh sakti hai? (NahiN) Kia hum sub hi nay kam zarfi ka kaam nahiN kia? ( Ji haaN) Kia yeh talkhi hum sub ka qasoor nahiN? (Ji haaN)
Tau kia aisa nahiN ho sakta keh dobara dosti ho jaay. pehl mairi taraf say, maiN aap say maazrat karta hooN. Aab aap ka muskarahat say bharpoor Jawab zaroor aanaa chahiay warna maiN samjooN ka keh aap naarazgi khatm nahiN karna chahtay.
Razi Sahib nay bataya keh meri, kaNwal aur Sunita ki aap maiN talkhi huwi thi laikin kuch hi din maiN khatm ho gayee aur ab aiasay hai keh aap ko pata hai......
ChalaiN ab laRaee khatmaatif sahib mujhay khushi hui k aap ny pehal kar lee aur mujhy yaqeen hay k saeed sahib bhi isi jazbay k saath aap ko jawab dain gay khalid sahib say guzaarish hy woh bhi is thread main reply kar k naraazi door kar dain is thread ko jo saeed bhai nay aqeel k jaanay par shuroo kia dosti ka thread bana dain aur mera waada hy aqeel ko main wapis laaoon ga woh mera maan nahi toraay ga magar is say pehlay aap sab dost yahan jama ho jaain agar is ranjish main mera koi qasoor ho to main khud bhi maazrat chaahta hoon aap sab ka muntazir rahoon ga thanx razi
|
|
|
Post by saeed on May 1, 2008 5:52:53 GMT 5
Saeed Bhai! Kia dostoN aur bhayoN maiN talkhi kay baad hamaish naarazgi reh sakti hai? (NahiN) Kia hum sub hi nay kam zarfi ka kaam nahiN kia? ( Ji haaN) Kia yeh talkhi hum sub ka qasoor nahiN? (Ji haaN)
Tau kia aisa nahiN ho sakta keh dobara dosti ho jaay. pehl mairi taraf say, maiN aap say maazrat karta hooN. Aab aap ka muskarahat say bharpoor Jawab zaroor aanaa chahiay warna maiN samjooN ka keh aap naarazgi khatm nahiN karna chahtay.
Razi Sahib nay bataya keh meri, kaNwal aur Sunita ki aap maiN talkhi huwi thi laikin kuch hi din maiN khatm ho gayee aur ab aiasay hai keh aap ko pata hai......
ChalaiN ab laRaee khatmaatif sahib mujhay khushi hui k aap ny pehal kar lee aur mujhy yaqeen hay k saeed sahib bhi isi jazbay k saath aap ko jawab dain gay khalid sahib say guzaarish hy woh bhi is thread main reply kar k naraazi door kar dain is thread ko jo saeed bhai nay aqeel k jaanay par shuroo kia dosti ka thread bana dain aur mera waada hy aqeel ko main wapis laaoon ga woh mera maan nahi toraay ga magar is say pehlay aap sab dost yahan jama ho jaain agar is ranjish main mera koi qasoor ho to main khud bhi maazrat chaahta hoon aap sab ka muntazir rahoon ga thanx razi Atif sb aur Razi Bhai, Aap thek keh rahey hain ham sab qasoorwaar hain is mas-ale ko tawalat deney mein! Mein do din pehley bhi Atif sb ki post pe maazrat kar chuka hoon yeh fazol behs khatm karney keliye aur aik bar phir maazrat karney mein mujhey koi aar nahen. Agar Atif sb, Khalid sb, Suneeta saheba ya kisi bhi dost ko meri kisi baat se dukh puncha hai to mein uske liye buhut maazrat khwah hoon!!! Razi bhai- Ab aapko hasb-e-wada Aqeel sb ko wapis lana hai. Aadaab Saeed
|
|
|
Post by Bilal Mirza on May 1, 2008 11:18:11 GMT 5
Salam, mein shaed do mehine pehle hi member bana hooN, kabhi kabhi on line ho kar sha.iri paRh leta tha, laikin kuch din se yeh behs parhtay huve dil kia keh mein bhi kuch likhoon. Mein sha.ir to nahin magar adab dost zaroor hoon. Mujhe pehlay tau ta.ajub huva aor ba.ad mein khooshii bhi keh jo log aik dum se seikh pa huwa forann aik doosre ke saath narazi khtm kerne mein der bhi nahin laga.ii. Mein khaas tor per Atif Bhai ko daad o tehsiin ka mus.tahiq maanta hoon aur Saeed sb ka bhi qail ho gaya hoon. Ma.aloom yeh huva ke ye hosle walay log hein, aik doosre ki khamian bardasht karne ka hosla rakhte hein. Razi sb aapka bohot shukria. Ab Khalid sb aor Sunita sba e bhi guzarish hei keh woh bhi yahan dosti ka ha.th barhaein.
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 1, 2008 16:16:22 GMT 5
aatif sahib mujhay khushi hui k aap ny pehal kar lee aur mujhy yaqeen hay k saeed sahib bhi isi jazbay k saath aap ko jawab dain gay khalid sahib say guzaarish hy woh bhi is thread main reply kar k naraazi door kar dain is thread ko jo saeed bhai nay aqeel k jaanay par shuroo kia dosti ka thread bana dain aur mera waada hy aqeel ko main wapis laaoon ga woh mera maan nahi toraay ga magar is say pehlay aap sab dost yahan jama ho jaain agar is ranjish main mera koi qasoor ho to main khud bhi maazrat chaahta hoon aap sab ka muntazir rahoon ga thanx razi Atif sb aur Razi Bhai, Aap thek keh rahey hain ham sab qasoorwaar hain is mas-ale ko tawalat deney mein! Mein do din pehley bhi Atif sb ki post pe maazrat kar chuka hoon yeh fazol behs khatm karney keliye aur aik bar phir maazrat karney mein mujhey koi aar nahen. Agar Atif sb, Khalid sb, Suneeta saheba ya kisi bhi dost ko meri kisi baat se dukh puncha hai to mein uske liye buhut maazrat khwah hoon!!! Razi bhai- Ab aapko hasb-e-wada Aqeel sb ko wapis lana hai. Aadaab Saeed saeed bhaiboht muhabat aap ki hum jab aik saath uthtay baythtay hain to is qism ki soorat e haal mehfilonmain payda ho jaati hy main aap ka zaati taur par mamnoon hoon sunita ji aur khalid sahib aap kahan hain is thread main aap ka bhi muntazir hoon main aqeel sahib waapis zarroor aain gay thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 1, 2008 16:19:03 GMT 5
Razi sb aapka bohot shukria. Ab Khalid sb aor Sunita sba e bhi guzarish hei keh woh bhi yahan dosti ka ha.th barhaein. janab hamara nahin un doston ka shukria ada kijiay jo naraazi khatmkar rahay hain sunita ji aur khalid sahib bhi zaroor is thread main reply karain gy thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 3, 2008 17:24:21 GMT 5
Salam, mein shaed do mehine pehle hi member bana hooN, kabhi kabhi on line ho kar sha.iri paRh leta tha, laikin kuch din se yeh behs parhtay huve dil kia keh mein bhi kuch likhoon. Mein sha.ir to nahin magar adab dost zaroor hoon. Mujhe pehlay tau ta.ajub huva aor ba.ad mein khooshii bhi keh jo log aik dum se seikh pa huwa forann aik doosre ke saath narazi khtm kerne mein der bhi nahin laga.ii. Mein khaas tor per Atif Bhai ko daad o tehsiin ka mus.tahiq maanta hoon aur Saeed sb ka bhi qail ho gaya hoon. Ma.aloom yeh huva ke ye hosle walay log hein, aik doosre ki khamian bardasht karne ka hosla rakhte hein. Razi sb aapka bohot shukria. Ab Khalid sb aor Sunita sba e bhi guzarish hei keh woh bhi yahan dosti ka ha.th barhaein. Umeed hai un kay aanay ki
|
|
|
Post by nadeem on May 5, 2008 17:58:51 GMT 5
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z is ka matlab maen shair ban sakta hoon sab say mazrat
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 5, 2008 20:45:44 GMT 5
?
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 5, 2008 22:51:27 GMT 5
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z is ka matlab maen shair ban sakta hoon sab say mazrat maazrat kis baat ki nadim tumhari is post main itna ibhaam hy k tumharay shair honay main koi shuk hi nahin boht seee muhabatain thanx razi
|
|
|
Post by nadeem on May 6, 2008 13:04:04 GMT 5
hahaha razi bhai yehi baat to kissi ko samajh nahen aati
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 7, 2008 2:08:21 GMT 5
hay yehi behtar na taang apni araiN darmiaN waqay say ashna tu bhi nahi maiN bhi nahi (Niaz Swati)
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 7, 2008 10:56:15 GMT 5
sub say behtar soch hai Rafi saheb aap ki!
|
|