|
Post by kanwal on Jul 23, 2008 6:25:35 GMT 5
baaqi dostoN ke baare meiN agli baar post karooN gi ,...
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 23, 2008 8:56:03 GMT 5
ramish sahab aap ki muhabaton ka main ab kis tara shukria ada karoon aap ny jis khaloos k saath tehreer kia sach poochain to meray pas lafz nahin hain tashakar k aur waysay bhi aap k saath dosti aur muhabat ka jo silsila hy woh shukria ki hudon sy boht aagay nikal chuka hy thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 23, 2008 9:02:40 GMT 5
kanawl mujhy intzaar tha k is thread ko khoobsoorat bananay k liay tum kub aagay barhti ho aaj tumhari is thread par aamad ny khush kar dia
is thread ka sal husn hi yeh hona chaahiay k hum doston k baaray main khul kar baat karain dil ki awaaz saamnay aani chaahiay kion k doston k baaray main baat kartay huay koi banawat nahin aati tehreer main thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 23, 2008 9:05:44 GMT 5
bilkul drust kaha tum nay kanawal k rfi sahab ki khaamoshi aur ikhtsaar kabhi kabhi mujhy bhi nahin bhata aur main bhi unhain aksar kehat hoon k muaamlaat par khul kar baat kis karain kion rafi sahab theek hay na ? thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jul 23, 2008 9:14:22 GMT 5
kanwal tum nay meray baaray main itna kuch likh dia k main sochta reh gia k aakhir main hoon kai ? kuch bhi nahin hoon main bus aik baat par yaqeen rakhta hoon k talent ka raasta nahin rokna chaahiay jub main tumhari age main tha to mujy aik baat buri lagti thee k baaz seniors apnay juniors ka raasta roktay thay kuch aysay bhi thay jo hamara haath thaam kar humain aagay barhnay ka hosla daytay thay to wo jo aagay barhnay ka raasat dikhaatay thay wo mera ideal ban gaay aur main nay koshish ki k naay logon k raaston sy kaantay chun loon kanwal kaysi hy nadaan hay ya nahin yh main tumharay taaraf main likhoon ga khushi is baat ki hy agar naay likhnay waalay mera ehtraam kartay hain mujhy dost sakajhtay hain aur mujh sy baat kar k ya mashwara kar k yeh samajhtay hain k un ki uljhan door ho gaai aur un ki parayshaani kum ho gaai to kanwal mainisay apni sab say barri kaamyabi samajhta hoon thanx razi
|
|
|
Post by ramishjaan on Jul 25, 2008 1:25:58 GMT 5
AOA Kanwal jee ankhee,n ashkbar aur Dil KHUDA ke shukr se labreez ke us ne is nafsa nafsi ke dour me bhi abhi ap jese pur khlos dost diye howe hai,n ALLHA talla hi ap ko itni achi soch aur itne khlos ka ahsan jaza Atta kar sakta he kanwal jee yeh dosti yeh khlos dono janib sachei se bhar por he ALLHA kare hamesha ese hi qayem o dayem rahe sada khush rahiye abad o shad rahyie ameen suma ameen waslam mukhlis ramishjaan[/color]
|
|
|
Post by Tanweer on Sept 27, 2008 7:47:28 GMT 5
Ramish bhaee!Ba^khuda bohat sharmindah hon k ye thread meri nazar say nahi guzra tha, aaj yo.N he scroll kartay kartay yahan phoncha aur dekha k kis tarah say khoobsurti say aap nay dosto.N ko yaad rakha. esqadar piyar nichawar karnay par meri bohat si pur^khaloos duaien. khush rahiey, Faq't Tanweer
|
|