neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on May 12, 2007 14:48:55 GMT 5
Mein Jaanty hoon k, Tumhain mujh say Muhabbat hai, Tumhary aankhon mein, khwaabon, Tumharay saanson ki har dor main, Bas main hi basty hoon, Tumhary zindagee k har waraq par, Mera hi Naam likha hai, Mein Jaanty hoon, k tum.. Mera bin ik pal bhi, Jee nahin saktay, Magar mein kia karoon Jaanaan, K mein majboor hoon Jaanaan, Tumharay Dil pay likha Naam apna , Padh tou sakty hoon, Magar Un khwaab Lamhon ko, Teri Bayloss Chahat ko, Mein apna nahin sakty, K Mein Majboor hoon Jaanaan, Bohut Majboor hoon Jaanaan.
|
|
|
Post by sunita on May 12, 2007 15:52:07 GMT 5
neha ji bahut achhi nazm kahi aap ne lekin aisi kya majboori hai iraade nek hon to har baat mumkin hai. khush rahen.
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on May 12, 2007 23:36:42 GMT 5
Khoobsoorat nazm Neha ji aap Andaz e BiaN main post kia kejiay
|
|
|
Post by HASIB RANA on May 14, 2007 13:46:00 GMT 5
Mein Jaanty hoon k, Tumhain mujh say Muhabbat hai, Tumhary aankhon mein, khwaabon, Tumharay saanson ki har dor main, Bas main hi basty hoon, Tumhary zindagee k har waraq par, Mera hi Naam likha hai, Mein Jaanty hoon, k tum.. Mera bin ik pal bhi, Jee nahin saktay, Magar mein kia karoon Jaanaan, K mein majboor hoon Jaanaan, Tumharay Dil pay likha Naam apna , Padh tou sakty hoon, Magar Un khwaab Lamhon ko, Teri Bayloss Chahat ko, Mein apna nahin sakty, K Mein Majboor hoon Jaanaan, Bohut Majboor hoon Jaanaan. NICE POEM ............ NEHA JE KEEP IT UP ....... ALL THE BEST [/COLOR]
|
|
|
Post by Aqeel Malik on May 15, 2007 15:26:06 GMT 5
samnay ki nazmhay magar ehsasati wabastagi ka nibhae umda hay
|
|
|
Post by kanwal on May 15, 2007 19:52:50 GMT 5
umdaa neha jee ,... daad e guL aapki nazR,...
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on May 16, 2007 20:03:34 GMT 5
Thanx a lot Rafi bhai, haseeb sahab, Aqeel sahab, sunita ji n kanwal, Aaap sab ki hosla afzai aur ghazal ki pasandeedgi ka shukriya.
|
|
|
Post by HASIB RANA on May 19, 2007 13:39:02 GMT 5
Thanx a lot Rafi bhai, haseeb sahab, Aqeel sahab, sunita ji n kanwal, Aaap sab ki hosla afzai aur ghazal ki pasandeedgi ka shukriya. U WEL COME KEEP SMILING
[/COLOR][/SIZE]
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 11, 2008 5:46:13 GMT 5
Neha ji! Aik achchi nasri kaavish tau keh saktay hai magar nazm kay qaalib maiN dhaalnay kay liay iss ka wazan darust kijiay. Aap nay Majboori ka rona tau roya aur ba-bang-e-duhal roya magar majboori bayan nahiN ki?
|
|