|
Post by Sukhanwar on Nov 9, 2008 0:22:47 GMT 5
roothnay aur manaanay main guzar jaati hy yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy
baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy
kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy
jis taraf koi bicharrta hay yehi umr e taveel us taraf laut k jaanay main guzar jaati hy
din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum raat tabeer bananay main guzar jaati hy
zindagi bus wohi sa_at to hua karti hay woh jo kuch pyaas bujhanay main guzar jaati hy
saans laynay ko zaroori hy naya chehra bhi warna yeh umr puranay main guzar jaati hy
ab kabhi ho bhi agar us sy mulaqat razi apnay ashkon ko chupaanay main guzar jaati hyrazi ud din razi Razi Bhai, Ummeed hey aap ke samet tamam "Sukhawaraan" khair o aafiat sey hoN gey. DheroN daad aur mubarakbaad. Khoobsoorat ghazal hey aapki. Khususan ye sher bohat pasabd aaya: kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy tashee sahab boht shukria aap nay itni muhabat k saath daad dee thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 9, 2008 0:28:47 GMT 5
Razi sahab haqeqat kay itna qareeb baat ho tu diloun main kiun na utray.yaqeen maneya yea dil main utar rahy hay.yea chota sa ezhar hay yea qabol kejeay.... 'dad qabool kejeay' esleya nai kah pati kay apni kam fahmioun ka ehsas hay.aur jo janta na ho wo tareef ka haq ada kaisay kar sakta hay.yahi khaial daman geer hay. waslam fatimah fatima sab sy pehlay to pazeerai ka shukria ghazal haqeeqat sy qareeb hy ya nahin laykin ye mayray dil k bohht qareeb hay asal main to hum shairi main zindagi ki haqeeqatain hi bayaan kar rahay hotay hain zindagi ka yeh rawaiyya sab k sath isi tara hy aur isi liay aap ko yeh pasnad aai rahi yeh baat kum fehmi ki to myra khyaal hy kum fehm koi nahin hota aap ko ghazal pasand aai hi is liay k aap ny isay samajh lia izhaar e khyaal kia karain aur bay laag baat kia karain thanx razi
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on Nov 11, 2008 23:43:21 GMT 5
Bohut khoob Razi bhai, Aap ki ghazal bht acchi lagi, tamam ash'aar acchay hain, meri taraf se dhairon daad haazir hai.
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 13, 2008 0:10:55 GMT 5
Bohut khoob Razi bhai, Aap ki ghazal bht acchi lagi, tamam ash'aar acchay hain, meri taraf se dhairon daad haazir hai. shukria aap ka neha sahiba razi
|
|
|
Post by waqaar on Nov 17, 2008 20:27:59 GMT 5
razi SaaHeb, aadaab! roothnay aur manaanay main guzar jaati hy yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy huZoor kamaal hii aSh'aar kahay haiN aapnay. daad haaZir hay! waQaar
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 18, 2008 0:00:22 GMT 5
razi SaaHeb, aadaab! roothnay aur manaanay main guzar jaati hy yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy huZoor kamaal hii aSh'aar kahay haiN aapnay. daad haaZir hay! waQaar waqar sahab boht shukria k aap nay pasandeedgi ka izhaar kia razi
|
|
zehrab
rukn
ham pe guzrey hain khizaN ke sadmey--Ham sey poochey koi afsaana-e gul
Posts: 125
|
Post by zehrab on Nov 20, 2008 10:46:48 GMT 5
Wah Wah Razi saheb
bari murassa ghazal ata ki aap ney
her sher bohat khub hay
daad hazir hay
Qamar
|
|
|
Post by Aqeel Malik on Nov 23, 2008 13:52:57 GMT 5
Razi sahab Adab!
youn tu tamaam ghazal bahut umda aur thirakti hoe qaree ko sath leay chalti hay par dar zail sher ka kia kehna dad qabooleay
baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy
aqeel
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 23, 2008 17:05:12 GMT 5
Wah Wah Razi saheb bari murassa ghazal ata ki aap ney her sher bohat khub hay daad hazir hay Qamar qamar sahab ghazal pasand karnay ka boht shukria razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Nov 23, 2008 17:06:30 GMT 5
Razi sahab Adab! youn tu tamaam ghazal bahut umda aur thirakti hoe qaree ko sath leay chalti hay par dar zail sher ka kia kehna dad qabooleay baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain zindagi baat bananay main guzar jaati hy aqeel ghazl pasand karnay ka shukria aur mujhy to ziaada khushi is baat ki hy k aaj kaafi arsay baad aap ko forum main daykah lahore sy wapsi ho gaai ?? razi
|
|
|
Post by Aqeel Malik on Nov 23, 2008 20:51:36 GMT 5
G Lahore say wapsi hogae hay aur ab bay qaidgi ko baqaidgi meiN badal dia jaeay ga
aqeel
|
|
|
Post by Meticulous on Jan 7, 2009 12:27:59 GMT 5
waah waah..beikhtiyaar dilse waah nikalti hai har shair par.. buhat hi aala kalaam padhne ko diya aapne razi bhai..buhat khoob.
|
|
|
Post by ramishjaan on Jan 9, 2009 11:41:42 GMT 5
AOA Hazarte Razi sahib kese mizaj hai,n Qibla aap ke mazraat chahta ho,n ke takheer se pohanch paya mehfal me aur itni Khobsorat Ghazal se abhi tak mehrom raha razi bhai keya Ghazal atta ki he yaqeen janyiye aik aik misra seedha dil ki gehraio,n ko choota raha aur aik ajeeb kefyiat tari kar di ap ki is Ghazal ne kitni sachi aur kitni haqeeqat par mabni Ghazal he Razi bhai mere chamane Qalb ke tumam phool ap ke Husne kalam ki nazr ALLHA kare ap ka qalam hamesha esi umda aur ba kamal alfaz ki malye bakherta rahe ameen suma ameen waslam mukhlis ramishjaan
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jan 9, 2009 12:54:30 GMT 5
waah waah..beikhtiyaar dilse waah nikalti hai har shair par.. buhat hi aala kalaam padhne ko diya aapne razi bhai..buhat khoob. bht shukria aap ka razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jan 9, 2009 12:56:39 GMT 5
AOA Hazarte Razi sahib kese mizaj hai,n Qibla aap ke mazraat chahta ho,n ke takheer se pohanch paya mehfal me aur itni Khobsorat Ghazal se abhi tak mehrom raha razi bhai keya Ghazal atta ki he yaqeen janyiye aik aik misra seedha dil ki gehraio,n ko choota raha aur aik ajeeb kefyiat tari kar di ap ki is Ghazal ne kitni sachi aur kitni haqeeqat par mabni Ghazal he Razi bhai mere chamane Qalb ke tumam phool ap ke Husne kalam ki nazr ALLHA kare ap ka qalam hamesha esi umda aur ba kamal alfaz ki malye bakherta rahe ameen suma ameen waslam mukhlis ramishjaan ramish bhaai aap ki muhabatain myra sarmaya hain aap boht din baad forum main aay hum aap k liay dua go rehtay hain thanx razi
|
|