|
Post by tmasood on Jan 17, 2009 18:47:49 GMT 5
Dil -e-naada'n tujhay hua kia hai" Har ghari uss ko sochta kia hai
Khoob
bohat achaa
Mein nay sab kuch tou tujh pay war dia Mere paas abb bhala bacha kia hai
nice
Kiun kadak is qadar hai lehjay main Rob kesa hai dabdaba kia hai
achaa
Guzray waqton ki sab ye batain hain Kajrawai main abb rakha kia hai
doosera misraa behtrei chaahta hai
Amn dharti say uth gaya kiun kar Jang kesi yeh tafriqa kia hai
bohat a'alaa
Dhadkano'n main jo bolta hai meri Janay hai kon, chaahta kia hai
waah
Inkisaari sii inkisaari hai Yaa Elaahi ye maujiza kia hai
kayaa baat hai aaj kal tau yehi Haal hai log ache ho jaaeiN tau yaqeen nahiN aata
Unginat khwaab aur mein Neha Aur abb iss k maasiwa kia hai
hmm kuch itnaa acha nahiN lagaa isko behter kiyaa jaa saktaa ha Nehaa jee
magar majmuee taur per aik achee koshish haii
|
|
|
Post by nasirmalik on Jan 18, 2009 21:09:47 GMT 5
Neha, aap ke lafzoN ko sarahta hooN. Khooooooob! Nasir Malik
|
|
|
Post by Atif Mirza on Jan 26, 2009 21:55:00 GMT 5
Simply Mutassir kun! DheroN mun daad!
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on Jan 28, 2009 0:13:42 GMT 5
Neha, aap ke lafzoN ko sarahta hooN. Khooooooob! Nasir Malik Bohut shukriya Nasir sahab
|
|
neha
rukn
Posts: 239
|
Post by neha on Jan 28, 2009 0:15:37 GMT 5
Simply Mutassir kun! DheroN mun daad! Daad k liye bohut Shukriya Atif sahab
|
|