|
Post by Atif Mirza on Sept 21, 2007 22:27:58 GMT 5
[glow=Black,3,400]"Laikin"[/glow] "Laikin" humari zindagiyoN maiN baRi ehmiyat ka hamil hai. Humarai haaN aksar masael "Laikin" say shuroo hotay hain. Zahir yehi hota hai keh asl mas'ala hi "Laikin" ka hai. Issay hum zindagi say nikaal nahiN saktay, mgar iss ki ehmiyat ko kum kar saktay haiN, Bilkul issy tarah jaisay kahiN koi kutta pagal hao jaey aur sub ko kat'ta phiray. Uss say chhutkara issi surat mumkin hai kah ussay maar diya jaey. Magar maarnay kay liaey koi hathyar ya zehr humaray paas nahin hai. Sirf aisa hathyar hai keh uss say kutta zakhmi ya behosh ho jaey. Zkhmi ho kar yah pehlay say ziyada khatarnak ho jata hai jab keh behoshi kay doran ussay ki zanjeer say jakra ja sakta hai ya kissi pinjray main band kiya ja sakta hai.Zanjeer say bandhnay kay baad sirf yeh qareeb aanay walon ko kaat sakta hai jab keh pijray main iss ka nuqsan na honay k brabar ho jata hai. Iss ki doosri misaal computer virus hai jisay delete na kar saknay ki surat main Quarantine kar diya jata hai, iss tarah virus de activate ho jata hai. Ab "Laikin" kay baaray main bhi yehi arz hai keh issay bhi pagal kuttay ki tarah ya tau pijray main band kar dain ya virus ki tarah Quarantine kar dain ya'ni iss ki ehmiyyat khatm kar dain. [shadow=green,down,500] Atif Mirza[/shadow]
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Sept 21, 2007 23:05:31 GMT 5
achi tehreer Inshaia negari ki taraf qadam barhati hui bohat khoob atif Mirza sahib
|
|
|
Post by Atif Mirza on Sept 22, 2007 17:24:15 GMT 5
Ta'reef ka SHUKRIYA Rafi Tabasum Sahib
|
|
|
Post by Sukhanwar on Sept 24, 2007 11:23:02 GMT 5
bohat khoob atif sahib nasr ka umda namoona hy yeh thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on Sept 25, 2007 23:27:32 GMT 5
Shukria Razi Bhai
|
|
|
Post by Atif Mirza on Sept 25, 2007 23:29:57 GMT 5
Razi Bhai Aik baat tau bataaeN, Yeha "Karma: -2" kia hai?
|
|
|
Post by Atif Mirza on Oct 31, 2007 10:15:40 GMT 5
Laikin yeh "Laikin" zindagi say nahiN nikal sakta!
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 4, 2008 11:56:29 GMT 5
bahut khoob atif sahab aur sach kehte hain iss pagal kutte jaise lekin ko zindagi se nikaalana na mumkin hai aur agar hum laykin ko zindagi sy nikaal dain to agar magar hi baaqi nahin reh jaay ga ?
|
|
|
Post by Atif Mirza on Nov 25, 2008 18:57:50 GMT 5
bahut khoob atif sahab aur sach kehte hain iss pagal kutte jaise lekin ko zindagi se nikaalana na mumkin hai aur agar hum laykin ko zindagi sy nikaal dain to agar magar hi baaqi nahin reh jaay ga ? aur tau aur goya keh, chooNkeh, chunaNcheh bhi khatm ho jaiN gay.
|
|