|
Post by brijinder on Sept 29, 2008 2:03:34 GMT 5
ZABT KI KASAM DI HAI USNAY
Zaahir na ho jayay meri udaasi meri tanhai Meray dil ki kasak aur badan ki angrai Ubhar na aayay chayhray par meri betaabioN kay naqoosh Suna na day kuch meri usko Pyaar say nihaarti aankhaiN Kadam aadtan na chal paraiN uski jaanib Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab Zabt ki kasam di hai usnay
--------------------------------- _______________
|
|