|
Post by Tanweer on Sept 24, 2008 3:38:51 GMT 5
Aik Nazam "Aunkhein" pesh karnay ja raha ho.N, omeed k apki tawaju hasil karay gi:Ae mah o mahar tom to ameen ho merey hamraz bhi gawah bhi ik manzil ke talash mein sargardan dono ham ney har dor mein qadam rakha......Dhoondi mein nay har soo wo kajrari aunkheinAb key jo mein nay janam liya apney nan^hay wajood ko piya reshmi palkouN key saya mein lipta paya mushk-e-amber sa hisar jo chaHya[/b] ......Dhoondi mein nay har soo wo mastani aunkhein[/color] bolona sikhaya' hansna sikhaya ungli tham k chalna bataya abroo utha k' palkein jhuka k sham-o-sehar ka farq jatlaya[/b] ......Dhoondi mein nay har soo wo anjani aunkheinJeeney key atwaar' zamanay ka mizaaj parhaya gham-e-duniya say azad karaya apni palko.N ki chilman mein chHuP kar sataya U'n nainouN mein hamko chamkaya' nazre bad say bachaya[/b] ......Dhoondi mein nay har soo wo deewani aunkheinkaaba-o-kalisa dharam-o-eeman ham nay banaya rooh-o-jan saan'S-o-aas ham nay paya U'n noor key halouN say Tanweer hay ujala jaisay aftab ki zia say mahtab hay sharmaya[/b] ......Mil gaein ab to mujh ko wo Ghazali aunkheinTanweer
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Sept 24, 2008 9:33:06 GMT 5
Wah
|
|
|
Post by Tanweer on Sept 25, 2008 1:17:13 GMT 5
Shukriya Dr. saheb.
Tanweer
|
|