|
Post by nadeem on Apr 7, 2008 15:03:50 GMT 5
muhtram dosto Adaab kafi din masroof raha aur shairi ki taraf tawajjo na day saka ab jo fursat ata hoi to bahut say ashaar jo masroofiat naen rook rakhay thay bahar aanay lagay to aik taza ghazal aur pesh e khidmat hai kab kaha hai keh mashwara meray dost bas meray haq maen kar dua meray dost maen akela nahen rahoon ga kabhi to nahen to mera Khuda meray dost ishq tanhai say na ho jaey ho bhi sakta hai laut aa meray dost tujh say milta tha khawb maen aksar to faqat khawb hi to tha meray dost maen bahut yaad aanay wala nahen mujh say itna na khauf kha meray dost khud ko bay aasra nahen kehta haen mera ab bhi aasra meray dost maen to khud say bhi kar saka na wafa maen to tujh say bhi baRh gaya meray dost dua go Nadeem Bhabha www.nadeembhabha.com
|
|
|
Post by saeedsaeed on Apr 7, 2008 18:33:04 GMT 5
aoa Nadem bahi khush kar diay ap ki ghazal ny wahhhhhhhhhhhhhh wahhh wahh wahhh keya batttttttttttt hay kamallllllllll hay yarrrrrrrr aur khas toor par ye aashar.............;;
ishq tanhai say na ho jaey ho bhi sakta hai laut aa meray dost
tujh say milta tha khawb maen aksar to faqat khawb hi to tha meray dost
maen bahut yaad aanay wala nahen mujh say itna na khauf kha meray dost
khud ko bay aasra nahen kehta haen mera ab bhi aasra meray dost
maen to khud say bhi kar saka na wafa maen to tujh say bhi baRh gaya meray dost
oks take care again dadd qabool karain ap ka Mubashir Saeed france
|
|
|
Post by Atif Mirza on Apr 7, 2008 20:04:24 GMT 5
Kab kaha hai keh mashwara meray dost Bas meray haq maen kar dua meray dost
(Zabardast Matla hai)
Maen akela nahen rahoon ga kabhi To nahen to mera Khuda meray dost
(Kia kehnay, Yaqeen mazboot hai aap ka!!)
Ishq tanhai say na ho jaey Ho bhi sakta hai laut aa meray dost
(Bahut umda sher hai)
Tujh say milta tha khawb maen aksar To faqat khawb hi to tha meray dost
(Wah!)
Maen bahut yaad aanay wala nahen Mujh say itna na khauf kha meray dost
(Khoobsorat)
Khud ko bay aasra nahen kehta Haen mera ab bhi aasra meray dost
(Achcha sher hai)
Maen to khud say bhi kar saka na wafa Maen to tujh say bhi baRh gaya meray dost
(HaSil-e-Ghazal)
Wah Nadeem Sahib! Kia umda aur dabang ghazal hai. Daad hazir hai.
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Apr 7, 2008 23:58:39 GMT 5
Khoobsoorat ghazal Nadeem sahib Radeef ki inferadiyat izafi khobi hay jo keh aap kay haaN aksar milti hay
|
|
|
Post by nadeem on Apr 8, 2008 3:26:42 GMT 5
azeez e man saeed yaqeen karo tumhari izzat maen izafa tumharay sher naen kiya ghazal ko pasand karnay ka shukriya ji khush howa itni muhabbat daikh kar maen isay mehz muhabbat gardanta hoon warna maen is qabil nahen bas tum khush raho dua go Nadeem Bhabha
|
|
|
Post by nadeem on Apr 8, 2008 3:31:43 GMT 5
piyaray atif mirza thora say piyar bacha rakho meray kal kay liey itni shadeed daad naen yaad dila diya wo mushaira jis maen aap razi ud din razi aur nadeem najid ahmad fareed ali zaryoon faisal hashmi naveed haidar ki kitaab ki ronumai bilkul wohi saman lag raha hai bahut nawazish khush rahaen Nadeem Bhabha
|
|
|
Post by nadeem on Apr 8, 2008 3:37:40 GMT 5
meray ham watan meray ham sukha meray shehr kay meri lehr kay meray muhtram rafi tabassum tum par salamtian ghazal ko pasand karnay ka shukriya kesay ho aaj kal kiya ho raha hai asal maen kabhi tafseel say baat nahen hoi is liey socha isi reply ko as a message bhi banatay haen takay laRi bari nazar aaey aur jis ki laRi bari wohi dil ka ameer daikhaen mazay mazay maen maen tasawoff ki baat kar gaya aik baar phir ghazal ko pasand karnay ka bayhad shukriya Allah aap ko aap kay maqased maen kaamyaab farmaen dua go Nadeem Bhabha
|
|
|
Post by nadeem on Apr 8, 2008 13:45:51 GMT 5
hahaha sunita ji sinf e nazuk (chahay wo jis umr ki bhi ho) mazaq karay to kis ko bura lagay maen samajh sakta hoon aap ka ishara kis taraf hai maen bhi wahen hoon jahan aap bhi then lekin ham shair loog sher maen hi wahan maujood rehtay haen meray aik dost haen Ejaz Tawakkal un ka sher aap ki nazr
qabroon maen nahen ham ko kitaboon maen utaro ham loog muhabbat ki kahani maen maray haen
|
|
|
Post by saeed on Apr 8, 2008 18:42:06 GMT 5
Nadeem saab,
hasb-e-mamool umda ghazal hai. ye sher buhut acha laga...
ishq tanhai say na ho jaey ho bhi sakta hai laut aa meray dost
lekin is sher ka lutf he apna hia.....
maen bahut yaad aanay wala nahen mujh say itna na khauf kha meray dost waahhhh!!!
khush rahen. saeed
|
|
|
Post by nadeem on Apr 8, 2008 22:59:41 GMT 5
muhtram saeed sahib aap naen ashaar pasand kiey bahut musarrat hoi aap khud achay shair haen is maen koi shaq nahen bahut shukriya dua go Nadeem Bhabha
|
|
|
Post by naheedv on Apr 13, 2008 0:37:53 GMT 5
tujh say milta tha khawb maen aksar to faqat khawb hi to tha meray dost
maen bahut yaad aanay wala nahen mujh say itna na khauf kha meray dost
maen to khud say bhi kar saka na wafa maen to tujh say bhi baRh gaya meray dost
Nadeem saahb, ghazal umdah hai. ooper ke ashaa'r zeyaadah pasaNd aaye. isi tarah umdah likhte rahiye.
shukriya Naheed
|
|
|
Post by nadeem on Apr 13, 2008 15:17:10 GMT 5
bahut shukriya muhtarma Naheed sahiba aap naen ashaar pasand keay Allah ki ata agar meray sath rahi to inshAllah aisay hi ashaar aatay rahaen gay dua go M Nadeem Bhabha
|
|