|
Post by Sukhanwar on May 31, 2007 19:45:26 GMT 5
|
|
|
Post by shahkaar on May 31, 2007 21:49:00 GMT 5
Razi bhai
shairoon ka baaz kalam aisaa hota hya jo un ki pehchaan ban jata hay.yeh intehaye dilkash nazm, dil ke taroon ko choo lenay wali, rythem aisa keh banda flow mein parhta jaye aur muskurata jaye, dil thamay howay,
nazm bila shuba intehaye khubsoorat aur parhnay sunnay kehnay her terah se bharpoor hay .aap ghazal bhi kehtay hein aur nazm bhi lekin is nazm ne pakistan mein aap ko pehchaan di he, koye shakhs razi uddin razi ko na janta ho lekin woh sitaray mil nahi saktay se zuroor waqif ho ga.
mein aap ka tah e dil se shukria ada kerta hoon keh aap ne meri darkhawast per nazm yehan post ke, aaj hi meray papar khatm howay hein aur relax howa hoon to yeh naazm parh ker be had lutf aya, kuch cheezein aisee hoti hein jin ka seher kabhi khgatm nahi hota, aur yeh nazm un mein se aik he.
be had nawazish
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Jun 1, 2007 23:10:16 GMT 5
Khoobsoorat nazm Razi bhai
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 7, 2007 14:44:06 GMT 5
waqar sahib aur rafi sahib aap ki muhabaton ka shukria
|
|
|
Post by naheedv on Jun 13, 2007 3:56:19 GMT 5
Razi bhai, buhat khoobsoorat nazm hai, halke phulke nazm jo har aik ke jazbaat kee tarjumaani kar rahi hai. buhat khoob. Daad haazir hai.
Naheed
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 15, 2007 16:19:41 GMT 5
Razi bhai, buhat khoobsoorat nazm hai, halke phulke nazm jo har aik ke jazbaat kee tarjumaani kar rahi hai. buhat khoob. Daad haazir hai. Naheed naheed sahiba nazm pasand karnay ka bohat shukria razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 11, 2008 15:21:45 GMT 5
Lijiay pichlay board say maiN nay yeh nazm utha kar yahaN rakhdi hai
ajab din thay muhabat kay ajab mosam thay chaahat kay kabhi gar yaad aa jaain to palkon par sitaaray jhilmilaatay hain
kisi ki yaad main raaton ko aksar jaagna maamool tha apna kabhi gar neend aa jaati to hum yeh soch laytay thay abhi to woh hamaaray waastay roya nahin ho ga abhi soya nahin ho ga abhi hum bhi nahin rotay abhi hum bhi nahin sotay
so phir hum jaagtay thay aur us ko yaad kartay thay akaylay bayth kar weeran dil abaad kartay thay
hamaaray saamnay taaron kay jhurmat main akayla chaand hota tha jo us kay husn kay agay bohat hi maaand hota tha falak par raks kartay an ginat roshan sitaaron ko jo hum tarteeb daytay thay to us ka naam banta tha
hum aglay roz jab miltay to guzri raat ki har baykali ka zikr kartay thay har ik kissa sunaatay thay kahn kis wak or kaysay yeh dil dharka bataatay thay
main jab kehta keh jaanan aaj to main raat ko ik pal nahin soya to woh khaamosh rehti thee par uski neend main doobi hui do jheel si aankhin achaanak bol uthti theen
main jab us ko bataata tha keh main nay raat ko roshan sitaron main tumhaara naam daykha hay to woh kehti razi tum jhoot kehtay ho sitaaray main nay daykhay thay or in roshan sitaaron main tumhaara naam likha tha
ajab maasoom larki thee mujhay kehti thee lagta hay keh ab apnay sitaaray mil hi jaain gay magar us ko khabar kia thee kinaaray mill nahin saktay muhabat ki kahaani main muhabat karnay waalon kay sitaaray mil nahin saktay
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 25, 2008 15:23:23 GMT 5
Lijiay pichlay board say maiN nay yeh nazm utha kar yahaN rakhdi hai
ajab din thay muhabat kay ajab mosam thay chaahat kay kabhi gar yaad aa jaain to palkon par sitaaray jhilmilaatay hain
kisi ki yaad main raaton ko aksar jaagna maamool tha apna kabhi gar neend aa jaati to hum yeh soch laytay thay abhi to woh hamaaray waastay roya nahin ho ga abhi soya nahin ho ga abhi hum bhi nahin rotay abhi hum bhi nahin sotay
so phir hum jaagtay thay aur us ko yaad kartay thay akaylay bayth kar weeran dil abaad kartay thay
hamaaray saamnay taaron kay jhurmat main akayla chaand hota tha jo us kay husn kay agay bohat hi maaand hota tha falak par raks kartay an ginat roshan sitaaron ko jo hum tarteeb daytay thay to us ka naam banta tha
hum aglay roz jab miltay to guzri raat ki har baykali ka zikr kartay thay har ik kissa sunaatay thay kahn kis wak or kaysay yeh dil dharka bataatay thay
main jab kehta keh jaanan aaj to main raat ko ik pal nahin soya to woh khaamosh rehti thee par uski neend main doobi hui do jheel si aankhin achaanak bol uthti theen
main jab us ko bataata tha keh main nay raat ko roshan sitaron main tumhaara naam daykha hay to woh kehti razi tum jhoot kehtay ho sitaaray main nay daykhay thay or in roshan sitaaron main tumhaara naam likha tha
ajab maasoom larki thee mujhay kehti thee lagta hay keh ab apnay sitaaray mil hi jaain gay magar us ko khabar kia thee kinaaray mill nahin saktay muhabat ki kahaani main muhabat karnay waalon kay sitaaray mil nahin saktay aatif bhai aap ki muhabat hy k aap nay woh mushkil kaam bhi kar dia jo mujh jaysa sust aadmi na kar saka tha main to bus link day kar hi mutmaain ho gia tha thanx razi
|
|
|
Post by kanwal on May 27, 2008 1:16:31 GMT 5
Haqeeqatan yeh aik la jawaab nazM hai ,... Aur apni misaal aap hai ,.... daad ke saare gulshan iss nazM ke naaM ,...
|
|
|
Post by ramishjaan on May 27, 2008 23:21:10 GMT 5
AOA razi bhai is nazm ki keya tareef karo ke tareef ke alfaz bohat kam par jate hain itni khobsorat nazm ke liye jab pichle board par yeh nazm ap ne lagei thi us waqt bhi aik bat ap se share karni chahta tha magar phir jane kion reh geya aj kar raha hon shayd is husne itfaaq s eap ko andaza ho ke yeh nazm mere liye kitni aham ban gai he jis din ap ne pichle board par yeh nazm lagei thi us se aik ja do din pehle meri kisi se guftagu ho rahi thi aur me ne use aik jumla kaha ke me asmaan par jaha jaha dekhta ho,n mujhe ap hi nazr atte ho wo badal ho ja sitare har siatre me mujhe ap ka hi chehra dikhei deta he aur is bat ko jane kis jazbe ke teht me ne do 4 bar dihrya to us ne mujhe kaha ke yeh ho nahi skata itfaaq se usi roz ja agle roz ap ki yeh nazm us bord par parhi aur me ne copy kar ke use mail ki ke dekho jo bat me ne faqat lafz me kahi thi wo mere ustad jese dost ne nazm me keh dali ..... aur isi hawale se mujhe yeh nazm bohat azeez he chamane qalb ke sare phool ap ke husne kalam ki nazr waslam mukhlis ramishjaan
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 3, 2008 22:50:11 GMT 5
Haqeeqatan yeh aik la jawaab nazM hai ,... Aur apni misaal aap hai ,.... daad ke saare gulshan iss nazM ke naaM ,... shukria kanwal k aap ny daad main yeh phool hamari nazr kia thanx razi
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 3, 2008 22:52:40 GMT 5
AOA razi bhai is nazm ki keya tareef karo ke tareef ke alfaz bohat kam par jate hain itni khobsorat nazm ke liye jab pichle board par yeh nazm ap ne lagei thi us waqt bhi aik bat ap se share karni chahta tha magar phir jane kion reh geya aj kar raha hon shayd is husne itfaaq s eap ko andaza ho ke yeh nazm mere liye kitni aham ban gai he jis din ap ne pichle board par yeh nazm lagei thi us se aik ja do din pehle meri kisi se guftagu ho rahi thi aur me ne use aik jumla kaha ke me asmaan par jaha jaha dekhta ho,n mujhe ap hi nazr atte ho wo badal ho ja sitare har siatre me mujhe ap ka hi chehra dikhei deta he aur is bat ko jane kis jazbe ke teht me ne do 4 bar dihrya to us ne mujhe kaha ke yeh ho nahi skata itfaaq se usi roz ja agle roz ap ki yeh nazm us bord par parhi aur me ne copy kar ke use mail ki ke dekho jo bat me ne faqat lafz me kahi thi wo mere ustad jese dost ne nazm me keh dali ..... aur isi hawale se mujhe yeh nazm bohat azeez he chamane qalb ke sare phool ap ke husne kalam ki nazr waslam mukhlis ramishjaan ramish ji aap ny jo waaqia sunaya us par lutf aa gia hota hy aysay hi baaz auqaat k hamaray dill ki baat koi aur nazm kar jaata hy khushi hui k aap k dill ki baat ko main ny nazm kar dia thanx razi
|
|
|
Post by saeed on Jun 4, 2008 4:58:24 GMT 5
Razi Bhai,
Khoobsurat nazm hai... Purani shaeri ka nasha bhi sehba ki tarah waqt ke sath bRhta rehta hai.
Thanks for sharing! Saeed
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 29, 2008 15:01:33 GMT 5
Razi Bhai, Khoobsurat nazm hai... Purani shaeri ka nasha bhi sehba ki tarah waqt ke sath bRhta rehta hai. Thanks for sharing! Saeed khushi hui k meri purani nazm nay aap ko makhmoor kar dia thanx razi
|
|
sahil
ibtidaai rukn
Posts: 66
|
Post by sahil on Aug 5, 2008 7:16:07 GMT 5
Razi sb ! Aap ki ye Nazm Kamal ki hay. Aik Nazm main sab kuch beyaan kar dia hay. Wahh...........Jamshaid Sahil
|
|