|
Post by Sukhanwar on May 26, 2007 0:47:00 GMT 5
Razi sb bahut achi ghazal hay aik likhari ka mansab ye hay k apnay daur apnay irdgird honay walay waqiat o masail ko inhail kary aur aik sachay tareeekh dan ka kam kray kiun aik adeeb apnay zamany ki akasi kar raha hota hay pakistan par jis tarha dictator ship aur neu colonialism kay hamiun nay yalghar kar rakhi hay us karb ki shidat is ghazal ki tehtee rau mein nazar ati ha yahan pakistan mein masla ye hay koe bhi nazrea kuli taur par raij hay he nahi kahi industrialist apna difa kar rahay hein tu kahin fudalists apna kahin NGOs ki ar mein saltanat ki bunyadon ko hilaay jaraha hay tu kahi comunist apna par char kar rahay hein ye aik intishar ka daur hay jis mein mazhmti adab parwan char rahay aur yehi mazahmat yahan maujood hay ap ki is ghazal mein bohat shukria aqeel sahib aap nay ghazal ko usi zaawiay say parha jis rukh sy hum nay isay kaha hy jab baat samajhnay walay mojood hon to kalaam ka lutf do baala ho jata hy thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on May 11, 2008 11:24:00 GMT 5
kisi tabeer ki khahish main yeh jeewan gaNwaatay hain agar ik khaab daykha hy to qeemat bhi chukaatay hain
hamaray is safar ka jaanay ab anjaam kaysa ho keh jo bhatky huay hain woh humain rusta batatay hain
ana, shikway, shikayat ,roothna ,naraz ho jana tumhain to yad ho ga hum yeh sab kuch bhool jaatay hain
humain bhi chaahiay sahib koi khil_at , koi mansab mahaz e jang sy hum bhi to bas nakaam aatay hain
hamaray paaon main rasta nahin bas bay qaraari hy agar bhutkain bhi to us ki taraf hi laut jaatay hain
razi hum ko khushi koi kabhi poori nahin milti yeh aankhain bheeg jati hain agar hum muskraaty hain
razi-ud-din razi Classic!!!!! Bahut umda ghazal hai Razi Saheb! Har aik sher qabil-e-daad.
|
|
|
Post by Sukhanwar on May 25, 2008 15:16:22 GMT 5

shukria aatif ji razi
|
|
|
Post by suhailabbaskhan on May 31, 2008 19:50:00 GMT 5
razi kia kum hay mian khud he yahaan salun banata hoon jo brtun thoonay lagta hoon tu kapray bheeg jatay hain
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 12, 2008 0:15:39 GMT 5
razi kia kum hay mian khud he yahaan salun banata hoon jo brtun thoonay lagta hoon tu kapray bheeg jatay hain suhail bhai aap nay apny liay yeh saza khud tajweez ki hay warna hum ny to aap ko bataya tha k pardays main yeh sub kuch khud karna parray ga ... shukria ghazal ki daad daynay ka aap ka apna hi munfird andaaz hay thanx razi
|
|
|
Post by Aqeel Malik on Jun 14, 2008 13:08:53 GMT 5
bari umda ghazal hay razi sb dad qabool kejeay
|
|
|
Post by Sukhanwar on Jun 29, 2008 14:57:29 GMT 5
bari umda ghazal hay razi sb dad qabool kejeay shukria aqeel bhai razi
|
|