|
Post by Sukhanwar on Aug 4, 2008 23:35:10 GMT 5
saylaab say hay ik naya manzar bana hua ab jheel hy , jahan tha mera ghar bana hua
toofaan khaahishon k na jazbon k ab bhanwar ik daur tha k dill tha samandar bana hua
pathraao ho raha hy kai din sy mujh pay ab khaamosh hoon main nakhl e samar war bana hua
dil at gia ghubaar sy aainay ki tarah nafrat ka ik khyaal tha sar sar bana hua
moti jarray hain os k her barg e zard main nakhl e khizan zameen ka hy zaywar bana hua
dharti pay haasidon ny bichaay huay thay jaal main urr raha tha , wo tha meray par bana hua
asgar qaseeda lkhna hy ik sifla ka mujhy woh in dinon hy mayra muqaddar bana hua
|
|
|
Post by Ghazalsara on Aug 4, 2008 23:50:19 GMT 5
saylaab say hay ik naya manzar bana hua ab jheel hy , jahan tha mera ghar bana hua toofaan khaahishon k na jazbon k ab bhanwar ik daur tha k dill tha samandar bana hua pathraao ho raha hy kai din sy mujh pay ab khaamosh hoon main nakhl e samar war bana hua dil at gia ghubaar sy aainay ki tarah nafrat ka ik khyaal tha sar sar bana hua moti jarray hain os k her barg e zard main nakhl e khizan zameen ka hy zaywar bana hua dharti pay haasidon ny bichaay huay thay jaal main urr raha tha , wo tha meray par bana hua asgar qaseeda lkhna hy ik sifla ka mujhy woh in dinon hy mayra muqaddar bana hua Mohtaram Shahia Sahib se Kanwal ( oor un ki kitab )ki roonumai par mulaqat hoi thi.Tafseeli baat cheet mumkin na thi.Shahia Sahib ki ye ghazal bhi munfarid,dil kash oor "rah-e-mazmoon-e-tazah bund naheen" ki roshan misal hay.Janab Razi aap bhi is ghazal ko likhnay par Shabaashi wasool kijay.
|
|
|
Post by Rafi Tabasum on Aug 5, 2008 0:45:58 GMT 5
saylaab say hay ik naya manzar bana hua ab jheel hy , jahan tha mera ghar bana hua toofaan khaahishon k na jazbon k ab bhanwar ik daur tha k dill tha samandar bana hua pathraao ho raha hy kai din sy mujh pay ab khaamosh hoon main nakhl e samar war bana hua dil at gia ghubaar sy aainay ki tarah nafrat ka ik khyaal tha sar sar bana hua moti jarray hain os k her barg e zard main nakhl e khizan zameen ka hy zaywar bana hua dharti pay haasidon ny bichaay huay thay jaal main urr raha tha , wo tha meray par bana hua asgar qaseeda lkhna hy ik sifla ka mujhy woh in dinon hy mayra muqaddar bana hua RAzi bhai shahia sahib ki Ghazal parhnay ko dee aap nay Shahia sahib Ghazal ka Ustadana rang us kay sha,er ka tu,araf khud karwa raha hay
|
|
sahil
ibtidaai rukn
Posts: 66
|
Post by sahil on Aug 5, 2008 6:57:59 GMT 5
Kia Khob Ghazl hay Ye Sher dekhain "saylaab say hay ik naya manzar bana hua ab jheel hy , jahan tha mera ghar bana hua " Razi sb Ghazloon ko Urdu main bhi Paste kia krain. Umda Ghazlain perh kar G khosh hota hay....................Jamshaid Sahil
|
|
|
Post by saeedsaeed on Aug 5, 2008 15:44:44 GMT 5
aoa razi shaib great ghazal by shaye shiab meyre salm dejeyga un ko, may be un ko main yad aa jawo, meyre marhom dosqt QASIM ADEEL ny meyre un sy 2 bar mulaqat kraye thy, aun unhoon ny mujhy apni first book ka gift bhi diya tha
plz un ka mazeed kalam bhi agar ho sky to shamil kar lain , balqa un aik thread hy bna dain aur us mein un ki 2nd book sy selected kalam bhi shamil kar dain to dil ko sakoon mely ga un ka nya kalam parh ka waitinggggggggg for urs positive response thanks take care mubashir
|
|
|
Post by Sukhanwar on Aug 6, 2008 0:06:14 GMT 5
aoa razi shaib great ghazal by shaye shiab meyre salm dejeyga un ko, may be un ko main yad aa jawo, meyre marhom dosqt QASIM ADEEL ny meyre un sy 2 bar mulaqat kraye thy, aun unhoon ny mujhy apni first book ka gift bhi diya tha plz un ka mazeed kalam bhi agar ho sky to shamil kar lain , balqa un aik thread hy bna dain aur us mein un ki 2nd book sy selected kalam bhi shamil kar dain to dil ko sakoon mely ga un ka nya kalam parh ka waitinggggggggg for urs positive response thanks take care mubashir mubashir bhai aap ki janib sy khair maqdam ka shukria main abhi shaahia sahab ki aik aik ghazal yahan post karta rahoon ga un ka alag board bhi bana dia jaay ga thanx razi
|
|
|
Post by saeedsaeed on Aug 6, 2008 1:05:25 GMT 5
aoa thanks razi shaib ap ki mohabt hy sir jee, ap ki meyre bat ko weigtage diya take care mubashir saeed
|
|
|
Post by saeed on Aug 7, 2008 6:35:56 GMT 5
Razi bhai/ Shaahia saheb
kiya khubsorat aur rachi hui ghazal hai....khayal aur ahang ka bharpur imtezaj!!!
Ye sher shaahia saheb ne shayad tarbela dam keliye kaha hai saylaab say hay ik naya manzar bana hua ab jheel hy , jahan tha mera ghar bana hua
Wahhhhh. Kiya akkasi hai!!! meinn bhi hazarey ke doosrey dam (khanpur Dam) ke mutassareen mein se hoon aur mera purana gher bhi jheel mein doob chuka hai.
Ghazal ke sabhi ashaar khubsurat hain...khasker ye ashaar
pathraao ho raha hy kai din sy mujh pay ab khaamosh hoon main nakhl e samar war bana hua moti jarray hain os k her barg e zard main nakhl e khizan zameen ka hy zaywar bana hua
Buhut shukriya!
|
|
|
Post by Atif Mirza on Aug 8, 2008 0:29:36 GMT 5
Wah! Shajia sb bahut umda aur jadeed ghazal hai. Daad qabool kijiay.
|
|
|
Post by nazghazal on Aug 9, 2008 17:46:53 GMT 5
bohot hi khoob
thanks razi ji itni achi ghazal share karne k liye
naz ghazal
|
|
|
Post by tmasood on Aug 14, 2008 23:56:41 GMT 5
bohat Umdah!! Mohteram Shaahiah Saheb ki khoobSurat ghazal hamse share karnay kaa shukeriyah Razi Bha'ee
|
|
zaki
sukhanshanas
Posts: 446
|
Post by zaki on Sept 20, 2008 16:00:55 GMT 5
Bahut Khoobsorat ghazal...............Bahut shukria Razi bhai app ne itna khoobsorat kalam share kia hai.......
|
|