|
Post by Sukhanwar on Nov 1, 2007 10:37:33 GMT 5
dosto yeh to aik aysa masaala hy k jis ka aaj tak hul nikla hi nahin hum bhi bachpan sy yehi behas parhtay aa rahay hain adabi behas main sab k nuqta e nazar ka ehtraam karna chaaiay main khud nasri nazm nahin kehta magar jo log is nazm k haami hain main un ki raay ka ehtraam karta hoon k raay ka ehtraam hi adab ka pehla qareena hy warna hum main aur us dehshat gard main koi farq na ho ga jo mukhlif nuqta e nazar walon ko bum sy urra dayta hy mujhay hayrat uis baat par hy k brijinder sahib nazm to urdu main kehtay hain magar woh kisi aur behas ya topic main raay daytay hua urdu likhna pasand nahin kartay theek hy humain is azaad forum main sab ki azadi ka khyaal rakhna chaahiay aur hum rakhtay bhi hain laykin kia brijinder sahib nay kabhi hamari is khaahishj ka ehtraam ki k woh hamari khushi k liay hi sahi urdu main raay dia karain intahaai ehtraam k saath baat kar raha hoon mujhay aur is forum k tamaam arakeen ko khushi ho gi agar woh aainda urdu main likha karain warna yeh nasri nazm ki baat to itni puraani ho chuki hy k is par mazeed guftagoo sy sirf talkhion main izaafa ho ga to kion na ab is thread ko lock kar dia jaay is laa haasil behas ko khatm kar dia jaay thanx razi
|
|
|
Post by Atif Mirza on Nov 1, 2007 22:45:36 GMT 5
Razi Sahib! Agar aap mujhay ikhtiyar daitay tau maiN kabhi ka iss thread ko lock kar chuka hota.
|
|
|
Post by khalid on Nov 1, 2007 23:16:18 GMT 5
mohtaram razi sb meira bhi aap se iltimaas hai k baraah e karam is thread, aur aainda is mozu per is gheir sehatmandaana behec ko forun lock ker diya keeje! sirf aik bhatkey huey likhaari ki wajah se ham sab kaisee kaisee gheir zaroori baateN keh chukey haiN!
shukriya
|
|