|
GHAZAL
Jan 1, 2008 16:43:03 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Jan 1, 2008 16:43:03 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy
kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy
sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay
siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy!
us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy
|
|
|
GHAZAL
Jan 2, 2008 1:19:12 GMT 5
Post by naheedv on Jan 2, 2008 1:19:12 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy! us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy Aqeel jee, ghazal buhat hee umdah hai. mujhey buhat pasand aayi hai, daad paishe.khidmat hai. aap kee ghazaloN meN matle' ke fuqdaan kyoN hotaa hai? shukriya Naheed
|
|
|
GHAZAL
Jan 2, 2008 10:44:18 GMT 5
Post by Rafi Tabasum on Jan 2, 2008 10:44:18 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy
kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy
Bohat Khoobsoorat Malik sahib
|
|
|
GHAZAL
Jan 14, 2008 16:37:15 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Jan 14, 2008 16:37:15 GMT 5
ap donoN ahabab ka shukria
|
|
|
GHAZAL
Jan 25, 2008 19:15:40 GMT 5
Post by Sukhanwar on Jan 25, 2008 19:15:40 GMT 5
aqeel malik sahib aap ki ghazal pasand aai khas taur tazgi ka ehsas numaayan hay
us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy
yeh shair mujhay khas taur par pasand aaya inkar aur iqrar ki darmyaani soorat umda andaz main nibhaai aap nay teesray shair k pehlay misray main lafz sood dar sood aap nay drust type nahin kia isi tara isi tara 4th shair k doosray misray main koi kehta hy ko drust kar lain aap ki ghazal tak taakheer sy pohancha wajah aap sab jaantay hain aaj kul aik naai masroofiat nay computer sy door kar rakha hay thanx razi
|
|
|
GHAZAL
Jan 25, 2008 20:08:02 GMT 5
Post by Atif Mirza on Jan 25, 2008 20:08:02 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy! us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy Malik Sahib! Ghazal bus theek hi hai. Baqi yeh bhi paRh lijiaay ga:- 1. Matlay kay baghair ghazal bay sar ka insaan maaloom hoti hai. 2. QafiayoN ki shadeed kami paee gayee hai aap ki ghazal maiN. Qafiay dohraiay gaay haiN. Dou baar "KahiN" aur dou baar "NahiN" aya hai. Lihaza ghazal aik mehdood si baat lagi. 3. Teesray sher ka misra-e-oola maiN "Sood dar sood" hai ya "Sood dar soor" hai. 4. "Koe kehti" ki bajaay "Koi Kehta" kar dijiay.
Khair Andaish
|
|
|
GHAZAL
Jan 28, 2008 17:42:13 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Jan 28, 2008 17:42:13 GMT 5
aqeel malik sahib aap ki ghazal pasand aai khas taur tazgi ka ehsas numaayan hay us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy yeh shair mujhay khas taur par pasand aaya inkar aur iqrar ki darmyaani soorat umda andaz main nibhaai aap nay teesray shair k pehlay misray main lafz sood dar sood aap nay drust type nahin kia isi tara isi tara 4th shair k doosray misray main koi kehta hy ko drust kar lain aap ki ghazal tak taakheer sy pohancha wajah aap sab jaantay hain aaj kul aik naai masroofiat nay computer sy door kar rakha hay thanx razi Razi sahab jin batoN ki taraf ap nay ishara kia zahir hay typing mistakes hein jo darust kar li gae hein.... ap ka bahut shukria
|
|
|
GHAZAL
Jan 28, 2008 17:50:43 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Jan 28, 2008 17:50:43 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy! us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy Malik Sahib! Ghazal bus theek hi hai. Baqi yeh bhi paRh lijiaay ga:- 1. Matlay kay baghair ghazal bay sar ka insaan maaloom hoti hai. 2. QafiayoN ki shadeed kami paee gayee hai aap ki ghazal maiN. Qafiay dohraiay gaay haiN. Dou baar "KahiN" aur dou baar "NahiN" aya hai. Lihaza ghazal aik mehdood si baat lagi. 3. Teesray sher ka misra-e-oola maiN "Sood dar sood" hai ya "Sood dar soor" hai. 4. "Koe kehti" ki bajaay "Koi Kehta" kar dijiay.
Khair AndaishAtif sahab ap nay ghazal ka matalia kia bahut acha laga ghazal ap ko bas theek lagi halankeh mujhy tu bilkil bhi theek nahi lagi.... mein aksar matlay kay baghair ghazlein post karta hon tu mein sath sath maqtay kay baghair bhin bhejta hon aur ye mayri adat hay ke chand aik sher mein nahi bheja karta ab ye buri adat hay ya bhali behr hal mayri adat hay aur mujhy is mein qabahat mehsoos nahi hoti qawafi yaqeenan tang hay kiun men bahut kam sukhan waqia hoa hon is leay zood goe say ijtinaab karta hon aur jo khial qafia laykar ata hay usi qafeay mein bandh dayta hon mein is baat ka qail nahi hon ke sher kehna hay aur lazmi kehna hay hay tu hay nahi hay tu nahi hay baqi rahi alfaz ki ghalitian tu mujhy roman likhnay mein bahut diqat hoti hay balkeh zehni koft hoti hay isi leay mein ziada tar inpage file attach karta hon ye shaid is forum mein mayri pehli roman mein likhi hoe ghazal hay is leay myri is kotahi ko ainda bhi nazar andaz keay janay ki bharpooor tawaqu rakhta hon.....gustakhi muaaf aqeel
|
|
|
GHAZAL
Jan 28, 2008 19:58:59 GMT 5
Post by khalid on Jan 28, 2008 19:58:59 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy! us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy!
us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hybohot umda huzooR! DAAD QUBOOL KEEJE!
|
|
|
GHAZAL
Jan 29, 2008 17:16:36 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Jan 29, 2008 17:16:36 GMT 5
asmaN say wo utar kar miry dar tak aya ik ajab dard miry lafz kay andar kahin hy kaun jaey ga tiry sard falak ki janib miry khursheed e tamana ki tamazat yahin hy sood dar soor tira ishq barhay jata hay khaab tu aik taraf neend bhi mayri nahiN hay siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy! us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy siskiaN bharti hoey rat kay sannaty mein koe kehti hay khuda mujh ko bata tu kahin hy!
us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hybohot umda huzooR! DAAD QUBOOL KEEJE! ap ki mahabat hay sahab warna mayri kia bisaat
|
|
|
GHAZAL
Feb 2, 2008 2:07:27 GMT 5
Post by ziabaloch on Feb 2, 2008 2:07:27 GMT 5
Malik SaaHib, aadaab !
kaise mizaaj haiN ? aek muddat baa'd aap se muKhaatib ho kar bahut achcha lag rahaa hai ! aap ka kalaam hamesha bahut u'mdah hotaa hai ! so yeh bhii hai ! be-shumaar daad !!
Zia Baloch
|
|
|
GHAZAL
Feb 2, 2008 14:17:06 GMT 5
Post by Tanweer on Feb 2, 2008 14:17:06 GMT 5
Aqeel sahib,
Takniki baton par to ooper baat ho chuki....
majmooee tor par ghazal achi lagi, daad qabool kejiey
Tanweer
|
|
|
GHAZAL
Feb 8, 2008 12:17:27 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Feb 8, 2008 12:17:27 GMT 5
Malik SaaHib, aadaab ! kaise mizaaj haiN ? aek muddat baa'd aap se muKhaatib ho kar bahut achcha lag rahaa hai ! aap ka kalaam hamesha bahut u'mdah hotaa hai ! so yeh bhii hai ! be-shumaar daad !! Zia Baloch ham muntazir thay so ap agaey.......aur ap ki maujoddgi ka ehsas hemein masarat dayta hay sahab
|
|
|
GHAZAL
Feb 8, 2008 12:18:27 GMT 5
Post by Aqeel Malik on Feb 8, 2008 12:18:27 GMT 5
Aqeel sahib, Takniki baton par to ooper baat ho chuki.... majmooee tor par ghazal achi lagi, daad qabool kejiey Tanweerap ki enayat hay
|
|
|
GHAZAL
Feb 12, 2008 2:55:49 GMT 5
Post by kanwal on Feb 12, 2008 2:55:49 GMT 5
us kay iqrar ki sorat bhi ajab tarz ki thi manta tha ke khuda hay magar uska nahin hy bohat umdaa aqeel jee ,.... daad ke dheroN guL aapki iss khubsoorat ghazl ke naaM ,...
|
|