Sukhanwar Dosto, Adaab.
Apni aik "GHAZAL" paish kernay ki jasarat ker raha hoon. Musbat tanqeed khulay dil se qubool ki ja'ay gi. Muntazir rahoon ga. Paishgi Shukriya.
Aankhon main hi marr jatay hain
Sapnay, tanhaa karr jatay hain
Marnay se jo darr jatay hain
Maot se pehlay marr jatay hain
Tairay saath jo lamhay beetain
Kitni jald guzarr jatay hain
Tairi yaad kay jugnoo aa ker
Har ore ujala karr jatay hain
Har rozz naii masaafat hai
Har rozz naya safar jatay hain
Aur tarah kay log hain hotay
Auron ki khaatir marr jatay hain
Qismat jin ki perdais likha ho
Lout k kab woh gharr jatay hain
Ma'ay aur meena ab tum sambhlo
Sikandar hum to gharr jatay hain